SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqsiir"
Sher MATCHES FOR "taqsiir"
Sher
Allama Iqbal
Sher
bevafaa kuchh nahii.n terii taqsiir
mujh ko merii vafaa hii raas nahii.n
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
jise bhii dost banaayaa vo ban gayaa dushman
ye ham ne kaun sii taqsiir kii sazaa paa.ii
Farhat Abbas
Sher
kabhii kabhii to judaa be-sabab bhii hote hai.n
sadaa zamaane kii taqsiir tho.Dii hotii hai
Humaira Rahat
Sher
us kii to dil-aazaarii be-hech hii thii yaaro
kuchh tum ko hamaarii bhii taqsiir nazar aa.ii
Meer Taqi Meer
Sher
ye aaj kaun sii taqsiir ho ga.ii 'naamii'
ki dost bhii to milaate nahii.n nazar ham se
Abid Nami
Sher
haakim-e-ishq ne jab aql kii taqsiir sunii
ho Gazab hukm diyaa des nikaalaa karne
Siraj Aurangabadi
Sher
Baqar Naqvi
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Sher
kho diyaa tum ko to ham puuchhte phirte hai.n yahii
jis kii taqdiir biga.D jaa.e vo kartaa kyaa hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
aziiz-tar mujhe rakhtaa hai vo rag-e-jaa.n se
ye baat sach hai miraa baap kam nahii.n maa.n se
Tahir Shaheer
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa