SEARCH RESULTS
Showing search results for "taraazuu"
Sher MATCHES FOR "taraazuu"
Sher
aap daulat ke taraazuu me.n dilo.n ko taule.n
ham mohabbat se mohabbat kaa sila dete hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
tuu meraa dost hai dushman hai mujhe kuchh to bataa
teraa kirdaar taraazuu nahii.n hotaa mujh se
Jazib Ziai
Sher
unhe.n na toliye tahziib ke taraazuu me.n
gharo.n me.n un ke na chuulhe na diip jalte hai.n
Sada Ambalvi
Sher
ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazuu me.n suKHan-var rakh diye
Bakhsh Layalpuri
Sher
dil me.n sau tiir taraazuu hu.e tab jaa ke khulaa
is qadar sahl na thaa jaa.n se guzarnaa meraa
Ashfaq Husain
Sher
kufr-o-islaam me.n taule.n jo haqiiqat terii
but-kada kyaa ki haram sa.ng-e-taraazuu ho jaa.e
Muneer Shikohabadi
Sher
nikalte hai.n baraabar ashk merii dono.n aa.nkho.n se
mataa-e-dard tulne kii taraazuu ho to aisii ho
Naseem Dehlvi
Sher
merii Gairat ko mohabbat kii taraazuu pe na taul
imtihaa.n is se ba.Daa aur na hogaa ko.ii
Nazeer Mohsin
Sher
puuchhaa jo un se chaa.nd nikaltaa hai kis tarah
zulfo.n ko ruKH pe Daal ke jhaTkaa diyaa ki yuu.n
Arzoo Lakhnavi
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
kuchh is tarah se guzaarii hai zindagii jaise
tamaam umr kisii duusre ke ghar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
milne kii tarah mujh se vo pal bhar nahii.n miltaa
dil us se milaa jis se muqaddar nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko.ii nibaah rahaa ho raqiib se