SEARCH RESULTS
Showing search results for "uThaa.iye"
Sher MATCHES FOR "uThaa.iye"
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
mai pii ke iid kiijiye guzraa mah-e-siyaam
tasbiih rakhiye saaGar-o-miinaa uThaa.iye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
is ko na sochiye ki sitam yaa karam hu.aa
KHanjar uThaa.iye sar-e-tasliim KHam hu.aa
Ahsan Shahjahanpuri
Sher
saKHtii-e-raah khii.nchiye manzil ke shauq me.n
aaraam kii talaash me.n iizaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
saaGar nahii.n ki jhuum ke uTThe uThaa liyaa
ye zindagii kaa bojh hai mil kar uThaa.iye
Hosh Jaunpuri
Sher
lete hai.n log saa.ns bhii ab ehtiyaat se
chhoTaa saa hii sahii ko.ii fitna uThaa.iye
Shahzad Ahmad
Sher
us but kaa kuucha masjid-e-jaame nahii.n hai shaiKH
uThiye aur apnaa yaa.n se musallaa uThaa.iye
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
kuchh is qadar nahii.n safar-e-hastii-o-adam
gar paa.nv uThaa.iye to ye arsa hai do qadam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dilaa uThaa.iye har tarah us kii chashm kaa naaz
zamaana ba tuu na-saazad tuu baa zamaana ba-saaz
Baqaullah 'Baqa'
Sher
iGvaa hii karnaa thaa to ko.ii kam the lakh-pati
kis ne kahaa thaa road se ka.nglaa uThaa.iye
Dilawar Figar
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
kahii.n zamii.n se ta'alluq na KHatm ho jaa.e
bahut na KHud ko havaa me.n uchhaaliye saahib
Rajendra Nath Rahbar
Sher
aa.nkhe.n jo uThaa.e to mohabbat kaa gumaa.n ho
nazro.n ko jhukaa.e to shikaayat sii lage hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
Nushur Wahidi
Sher
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa hu.aa ik aan me.n bikhar se ga.e
Obaidullah Aleem
Sher
dosto.n se is qadar sadme uThaa.e jaan par
dil se dushman kii adaavat kaa gila jaataa rahaa