SEARCH RESULTS
Showing search results for "uThte"
Sher MATCHES FOR "uThte"
Sher
aaj to mil ke bhii jaise na mile ho.n tujh se
chau.nk uThte the kabhii terii mulaaqaat se ham
Jan Nisar Akhtar
Sher
uThte nahii.n hai.n ab to du.aa ke liye bhii haath
kis darja naa-umiid hai.n parvardigaar se
Akhtar Shirani
Sher
Aashufta Changezi
Sher
uThte hu.o.n ko sab ne sahaaraa diyaa 'kaliim'
girte hu.e Gariib sambhaale kahaa.n ga.e
Kaleem Aajiz
Sher
sab kuchh KHudaa se maa.ng liyaa tujh ko maa.ng kar
uThte nahii.n hai.n haath mire is du.aa ke ba.ad
Agha Hashr Kashmiri
Sher
ab du.aa.o.n ke liye uThte nahii.n hai.n haath bhii
be-yaqiinii kaa to aalam thaa magar aisaa na thaa
Mohsin Ehsan
Sher
ashko.n ke Tapakne par tasdiiq hu.ii us kii
be-shak vo nahii.n uThte aa.nkho.n se jo girte hai.n
Nooh Narvi
Sher
Abul Kalam Azad
Sher
uThte uThte mai.n ne is hasrat se dekhaa hai unhe.n
apnii bazm-e-naaz se mujh ko uThaa kar ro diye
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
paa.nv uThte hai.n kisii mauj kii jaanib lekin
rok letaa hai kinaara ki Thahar paanii hai
Akram Mahmud
Sher
aa.nkh jhuk jaatii hai jab band-e-qabaa khulte hai.n
tujh me.n uThte hu.e KHurshiid kii uryaanii hai
Mustafa Zaidi
Sher
dekhtaa mai.n use kyuu.nkar ki naqaab uThte hii
ban ke diivaar kha.Dii ho ga.ii hairat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
Imdad Imam Asar
Sher
mere hii paa.nv mire sab se ba.De dushman hai.n
jab bhii uThte hai.n usii dar kii taraf jaate hai.n
Hosh Jaunpuri
Sher
paa.nv us ke bhii nahii.n uThte mire ghar kii taraf
aur ab ke raasta badlaa hu.aa meraa bhii hai