SEARCH RESULTS
Showing search results for "uThte"
Ghazal MATCHES FOR "uThte"
Ghazal
rog aise bhii Gam-e-yaar se lag jaate hai.n
dar se uThte hai.n to diivaar se lag jaate hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
aflaak se aataa hai naalo.n kaa javaab aaKHir
karte hai.n KHitaab aaKHir uThte hai.n hijaab aaKHir
Allama Iqbal
Ghazal
nahii.n uThte qadam kyuu.n jaanib-e-dair
kisii masjid me.n bahkaayaa gayaa huu.n
Shad Azimabadi
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
us aag ne jalaa ke ye dil raakh kar diyaa
uThte the 'josh' sho.ale jo vahshat me.n chaar din
A G Josh
Ghazal
ho.nTo.n ko sii ke dekhiye pachhtaa.iyegaa aap
ha.ngaame jaag uThte hai.n aksar ghuTan ke ba.ad
Kaifi Azmi
Ghazal
dil se uThte hu.e sho.alo.n ko kahaa.n le jaa.e.n
apne har zaKHm ko pahluu me.n chhupaane vaale
Akhtar Saeed Khan
Ghazal
haath uThte hu.e un ke na ko.ii dekhegaa
kis ke aane kii kare.nge vo du.aa mere baad
Hakeem Nasir
Ghazal
us fitna-KHuu ke dar se ab uThte nahii.n 'asad'
us me.n hamaare sar pe qayaamat hii kyuu.n na ho
Mirza Ghalib
Ghazal
jaane kyuu.n aap ke ruKHsaar mahak uThte hai.n
jab kabhii kaan me.n chupke se kahaa eid kaa chaa.nd
Saghar Siddiqui
Ghazal
usii kii sharh hai ye uThte dard kaa aalam
jo daastaa.n thii nihaa.n tere aa.nkh uThaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
kaalii ghaTaa ke uThte hii tauba na rah sakii
tauba pe e'tibaar kiyaa haa.e kyaa kiyaa
Behzad Lakhnavi
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Aashufta Changezi
Ghazal
aaj to mil ke bhii jaise na mile ho.n tujh se
chau.nk uThte the kabhii terii mulaaqaat se ham
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
dekhtaa mai.n use kyuu.nkar ki naqaab uThte hii
ban ke diivaar kha.Dii ho ga.ii hairat merii
Jaleel Manikpuri
Ghazal
Gam to ghanghor ghaTaa.o.n kii tarah uThte hai.n
zabt kaa dasht hai barsaat nahii.n hotii hai
Hafeez Jalandhari
Ghazal
allaah re soz-e-aatish-e-Gam baa'd-e-marg bhii
uThte hai.n merii KHaak se sho'le havaa ke saath