SEARCH RESULTS
Showing search results for "unka"
Sher MATCHES FOR "unka"
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa
Adil Mansuri
Sher
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Sher
Zehra Nigaah
Sher
aa.egii har taraf se havaa dastake.n liye
uu.nchaa makaa.n banaa ke bahut khi.Dkiyaa.n na rakh
Prem Kumar Nazar
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
Kunwar Bechain
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
mirii KHaak bhii u.Degii baa-adab tirii galii me.n
tire aastaa.n se uu.nchaa na miraa Gubaar hogaa
Mubarak Azimabadi
Sher
mai.n adam se bhii pare huu.n varna Gaafil baar-haa
merii aah-e-aatishii.n se baal-e-anqaa jal gayaa
Mirza Ghalib
Sher
jab bhii jhuk kar miltaa huu.n mai.n logo.n se
ho jaataa huu.n apne qad se uu.nchaa mai.n
Zafar Tabish
Sher
pe.D uu.nchaa hai magar zer-e-zamii.n kitnaa hai
lab pe hai naam-e-KHudaa dil me.n yaqii.n kitnaa hai
Suhail Ahmed Zaidi
Sher
Faza Ibn e Faizi
Sher
Fazl Tabish
Sher
Waliullah wali
Sher
gardish-e-charKH nahii.n kam bhii hanDole se ki mahr
shaam ko maah se uu.nchaa hai sahar hai niichaa