SEARCH RESULTS
Showing search results for "vash"
Sher MATCHES FOR "vash"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
aataa hai jii me.n saaqi-e-mah-vash pe baar baar
lab chuum luu.n tiraa lab-e-paimaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
zikr us parii-vash kaa aur phir bayaa.n apnaa
ban gayaa raqiib aaKHir thaa jo raaz-daa.n apnaa
Mirza Ghalib
Sher
ho chaman ke phuulo.n kaa yaa kisii parii-vash kaa
husn ke sa.nvarne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Sher
thii vasl me.n bhii fikr-e-judaa.ii tamaam shab
vo aa.e to bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
ai sanam vasl kii tadbiiro.n se kyaa hotaa hai
vahii hotaa hai jo manzuur-e-KHudaa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Sher
ham tum me.n kal duurii bhii ho saktii hai
vaj.h ko.ii majbuurii bhii ho saktii hai
Bedil Haidri
Sher
Wasi Shah
Sher
is qadar thaa khaTmalo.n kaa chaarpaa.ii me.n hujuum
vasl kaa dil se mire armaan ruKHsat ho gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
baat niklegii to phir duur talak jaa.egii
log be-vaj.h udaasii kaa sabab puuchhe.nge