SEARCH RESULTS
Showing search results for "vidaa"
Sher MATCHES FOR "vidaa"
Sher
vidaa.a kartii hai rozaana zindagii mujh ko
mai.n roz maut ke ma.njdhaar se nikaltaa huu.n
Zafar Iqbal
Sher
ham roz-e-vidaa.a un se ha.ns ha.ns ke hu.e ruKHsat
ronaa thaa bahut ham ko rote bhii to kyaa hotaa
Altaf Hussain Hali
Sher
paiham sujuud paa-e-sanam par dam-e-vidaa
'momin' KHudaa ko bhuul ga.e iztiraab me.n
Momin Khan Momin
Sher
vidaa.a o vasl me.n hai.n lazzate.n judaagaana
hazaar baar tuu jaa sad-hazaar baar aa jaa
Mirza Ghalib
Sher
shaam-e-vidaa.a thii magar us ra.ng-baaz ne
paa.nv pe ho.nT rakh diye jaane nahii.n diyaa
Hasan Abbas Raza
Sher
uma.nD ke aa.nkh se ik baar bah chale aa.nsuu
ha.nsii ha.nsii me.n jo zikr-e-vidaa-e-yaar aayaa
Khwaja Hasan 'Hasan'
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Momin Khan Momin
Sher
kyuu.n pashemaa.n ho agar va.ada vafaa ho na sakaa
kahii.n va.ade bhii nibhaane ke liye hote hai.n
Ibrat Machlishahri
Sher
ko.ii ishaara dilaasaa na ko.ii va.ada magar
jab aa.ii shaam tiraa intizaar karne lage
Waseem Barelvi
Sher
ab tum kabhii na aa.oge yaanii kabhii kabhii
ruKHsat karo mujhe ko.ii va.ada kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
subuut hai ye mohabbat kii saada-lauhii kaa
jab us ne va.ada kiyaa ham ne e'tibaar kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
kis mu.nh se kah rahe ho hame.n kuchh Garaz nahii.n
kis mu.nh se tum ne va.ada kiyaa thaa nibaah kaa