SEARCH RESULTS
Showing search results for "virsa-e-ahl-e-junuu.n"
Sher MATCHES FOR "virsa-e-ahl-e-junuu.n"
Sher
milne ko hai KHamoshi-e-ahl-e-junuu.n kii daad
uThne ko hai zamii.n se dhu.aa.n dekhte raho
Hosh Tirmizi
Sher
zaraa ahl-e-junuu.n aa.o hame.n rasta sujhaa.o
yahaa.n ham aql vaalo.n kaa KHudaa gum ho gayaa hai
Irfan Sattar
Sher
tanhaa.ii na puuchh apnii ki saath ahl-e-junuu.n ke
chalte hai.n faqat chand qadam raah ke KHam bhii
Zuhoor Nazar
Sher
ahl-e-junuu.n pe zulm hai paabandii-e-rusuum
jaada hamaare vaaste kaa.nTaa hai raah kaa
Natiq Gulavthi
Sher
paa liyaa ahl-e-junuu.n ne phir shahaadat kaa maqaam
aql vaale maGfirat kii hii du.aa maa.ngaa kiye
Mashkoor Mamnoon Qannauji
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
bas yuu.nhii ham-sarii-e-ahl-e-jahaa.n mumkin hai
dam-ba-dam apnii bulandii se utartaa jaa.uu.n
Makhmoor Saeedi
Sher
ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazuu me.n suKHan-var rakh diye
Bakhsh Layalpuri
Sher
ai ahl-e-vafaa KHaak bane kaam tumhaaraa
aaGaaz bataa detaa hai anjaam tumhaaraa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jaagte rahnaa
aGyaar hai.n aamaada-e-shar jaagte rahnaa
Jafar Malihabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ai ahl-e-vafaa daad-e-jafaa kyuu.n nahii.n dete
so.e hu.e zaKHmo.n ko jagaa kyuu.n nahii.n dete
Iqbal Azeem
Sher
manzil na milii kashmakash-e-ahl-e-nazar me.n
is bhii.D se mai.n apnii nazar le ke chalaa huu.n