SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaaquut"
Sher MATCHES FOR "yaaquut"
Sher
logo.n ne aaraam kiyaa aur chhuTTii puurii kii
yakum may ko bhii mazduuro.n ne mazduurii kii
Afzal Khan
Sher
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat to.D de
kabhii phir us se pyaar kaa KHayaal bhii na aa.egaa
Yaqoob Yawar
Sher
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaa.ii kii
ravaa.n hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-KHayaal
Yaqoob Usmani
Sher
baad-e-nafrat phir mohabbat ko zabaa.n darkaar hai
phir aziiz-e-jaa.n vahii urdu zabaa.n hone lagii
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
Qasim Yaqub
Sher
pahaa.D jaisii azmato.n kaa daaKHila thaa shahr me.n
ki log aagahii kaa ishtihaar le ke chal diye
Yaqoob Yawar
Sher
kyaa ho sake hisaab ki jab aagahii kahe
ab tak to raa.egaanii me.n saaraa safar kiyaa
Qasim Yaqub
Sher
ye jhaa.nk letii hai andar se aarzuu-KHaana
havaa kaa qad mirii diivaar se ziyaada hai
Qasim Yaqub
Sher
har nayaa rasta nikaltaa hai jo manzil ke liye
ham se kahtaa hai puraanii rahguzar kuchh bhii nahii.n
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
mujhe bhii KHud na thaa ehsaas apne hone kaa
tirii nigaah me.n apnaa maqaam khone tak
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
Yaqoob Yawar
Sher
sach kahiyo ki vaaqif ho mire haal se 'aamir'
duniyaa hai KHafaa mujh se ki duniyaa se KHafaa mai.n
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
na samjhe ashk-fishaanii ko ko.ii maayuusii
hai dil me.n aag agar aa.nkh me.n bhii paanii hai
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
tuu laa-makaa.n me.n rahe aur mai.n makaa.n me.n asiir
ye kyaa ki mujh pe itaa.at tirii haraam hu.ii
Yaqoob Yawar
Sher
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
Yaqoob Tasawwur
Sher
dhiire dhiire sar me.n aa kar bhar gayaa barso.n kaa shor
rafta rafta aarzu-e-dil dhu.aa.n hone lagii