SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaar-e-yaar"
Sher MATCHES FOR "yaar-e-yaar"
Sher
paa-bos-e-yaar kii hame.n hasrat hai ai nasiim
aahista aa.iiyo tuu hamaare mazaar par
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-du.aa na kar
aate hai.n zindagii me.n ye aalam kabhii kabhii
Shakeel Badayuni
Sher
fasl-e-bahaar sehn-e-chaman yaar-e-mai-ba-kaf
kyuu.n zaahido haraam hai piinaa sharaab kaa
Abdul Wadood Uhad
Sher
shamiim-e-pairahan-e-yaar kyaa nisaar kare.n
tujhii ko dil se lagaa le.n tujhii ko pyaar kare.n
Makhdoom Mohiuddin
Sher
aks-e-KHayaal-e-yaar sa.nvaaraa kare.nge ham
shiishe me.n aa.ine ko utaaraa kare.nge ham
Junaid Akhtar
Sher
baiThaa hai jo ki saaya-e-diivaar-e-yaar me.n
farmaa.n-ravaa-e-kishvar-e-hinduustaan hai
Mirza Ghalib
Sher
ai KHaal-e-ruKH-e-yaar tujhe Thiik banaataa
jaa chho.D diyaa haafiz-e-qur.aan samajh kar
Shah Naseer
Sher
gayaa shabaab na paiGaam-e-vasl-e-yaar aayaa
jalaa do kaaT ke is naKHl me.n na baar aayaa
Mirza Raza Barq
Sher
kis shaan se ga.e hai.n shahiidaan-e-kuu-e-yaar
qaatil bhii haath uThaa ke shariik-e-du.aa hu.e
Hameed Jalandhari
Sher
tasviir-e-chashm-e-yaar kaa KHvaahaa.n hai baaGbaa.n
iijaad hogii nargis-e-biimaar kii jagah