SEARCH RESULTS
Showing search results for "zabt"
Sher MATCHES FOR "zabt"
Sher
na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
KHudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
Bismil Azimabadi
Sher
kamaal-e-zabt ko KHud bhii to aazmaa.uu.ngii
mai.n apne haath se us kii dulhan sajaa.uu.ngii
Parveen Shakir
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
Sarvat Husain
Sher
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'faraaz'
zaalim ab ke bhii na ro.egaa to mar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
mat puuchh ki ham zabt kii kis raah se guzre
ye dekh ki tujh par ko.ii ilzaam na aayaa
Mustafa Zaidi
Sher
ham hai.n asiir-e-zabt ijaazat nahii.n hame.n
ro paa rahe hai.n aap badhaa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Sher
tum ko hazaar sharm sahii mujh ko laakh zabt
ulfat vo raaz hai ki chhupaayaa na jaa.egaa
Altaf Hussain Hali
Sher
Saba Afghani
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ba.Daa zabt us ne kiyaa vaqt-e-ruKHsat
magar ho ga.ii aa.nkh nam dhiire dhiire
Khushi Mohammad Tariq
Sher
jaa aur ko.ii zabt kii duniyaa talaash kar
ai ishq ham to ab tire qaabil nahii.n rahe
Jigar Moradabadi
Sher
Gam se naazuk zabt-e-Gam kii baat hai
ye bhii dariyaa hai magar Thahraa hu.aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
sabr ai dil ki ye haalat nahii.n dekhii jaatii
Thahr ai dard ki ab zabt kaa yaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
Noshi Gilani
Sher
zabt bhii sabr bhii imkaan me.n sab kuchh hai magar
pahle kam-baKHt miraa dil to miraa dil ho jaa.e