SEARCH RESULTS
Showing search results for "zabt"
Ghazal MATCHES FOR "zabt"
Ghazal
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'faraaz'
zaalim ab ke bhii na ro.egaa to mar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Ghazal
kamaal-e-zabt ko KHud bhii to aazmaa.uu.ngii
mai.n apne haath se us kii dulhan sajaa.uu.ngii
Parveen Shakir
Ghazal
vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varna har ek saa.ns qayaamat use bhii thii
Mohsin Naqvi
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
KHabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat
tire haatho.n me.n luTtaa jaa rahaa huu.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is qadar zabt kahaa.n hai kabhii aa bhii na sakuu.n
sitam itnaa to na kiije ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
ham hai.n asiir-e-zabt ijaazat nahii.n hame.n
ro paa rahe hai.n aap badhaa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Ghazal
zabt kam-baKHt ne yaa.n aa ke galaa gho.nTaa hai
ki use haal sunaa.uu.n to sunaa bhii na sakuu.n
Ameer Minai
Ghazal
thaa zabt bahut mushkil is sail-e-ma.aanii kaa
kah Daale qalandar ne asraar-e-kitaab aaKHir
Allama Iqbal
Ghazal
Kaleem Aajiz
Ghazal
jaa aur ko.ii zabt kii duniyaa talaash kar
ai ishq ham to ab tire qaabil nahii.n rahe
Jigar Moradabadi
Ghazal
Iqbal Azeem
Ghazal
nauhe fasiil-e-zabt se uu.nche na ho sake
khul kar dayaar-e-sa.ng me.n royaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Ghazal
zabt sailaab-e-mohabbat ko kahaa.n tak roke
dil me.n jo baat ho aa.nkho.n se ayaa.n hotii hai
Sahir Hoshiyarpuri
Ghazal
hai miraa zabt-e-junuu.n josh-e-junuu.n se ba.Dh kar
na.ng hai mere liye chaak-garebaa.n honaa