SEARCH RESULTS
Showing search results for "zeb-e-badan"
Sher MATCHES FOR "zeb-e-badan"
Sher
rakh diyaa KHalq ne naam us kaa qayaamat ai 'zeb'
ko.ii fitna jo zamaane se uThaayaa na gayaa
Zeb Usmania
Sher
ghasiiTte hu.e KHud ko phiroge 'zeb' kahaa.n
chalo ki KHaak ko de aa.e.n ye badan us kaa
Zeb Ghauri
Sher
u.Daa ke KHaak bahut mai.n ne dekh lii ai 'zeb'
vahaa.n talak to ko.ii raasta nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
'zeb' ab zad me.n jo aa jaa.e vo dil ho ki nigaah
us kii raftaar hai chalte hu.e jaaduu kii tarah
Zeb Ghauri
Sher
mai.n tishna thaa mujhe sar-chashma-e-saraab diyaa
thake badan ko mire pattharo.n me.n daab diyaa
Zeb Ghauri
Sher
phir ek naqsh kaa naira.ng 'zeb' bikhregaa
mire Gubaar ko phir us ne pech-o-taab diyaa
Zeb Ghauri
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
aaGaaz lafz-e-kun hai to anjaam nafKH-e-suur
duniyaa kii zeb-o-ziinat-o-jaah-o-jalaal kyaa
Ahteramulhaque Siddiqui Sharar
Sher
muhtaaj-e-zeb-e-aariyatii kab hai zaat-e-baht
allaah kaa qadiim se hai naam be-nuqat
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kisii kaa milnaa, bichha.Dnaa aur ek do baate.n
tamaam silsila zeb-e-qalam na kar paayaa
Talib Husain Talib
Sher
maanaa ki rang ra.ng tiraa pairahan bhii hai
par is me.n kuchh karishma-e-aks-e-badan bhii hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
lagaa.ii.n taak ke us mast ne jo talvaare.n
dahaan-e-zaKHm-e-badan se bhii aa.e buu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
hai zeb-e-guluu kab se mire daar kaa phandaa
mujrim huu.n agar mai.n to sazaa kyuu.n nahii.n dete
Kaleem Usmani
Sher
libaas badle nahii.n ham ne mausamo.n kii tarah
ki zeb-e-tan jo kiyaa ek hii labaada kiyaa
Mohsin Zaidi
Sher
Siraj Lakhnavi
Sher
maqtal to ho.nge aaj bhii mansuur hai.n kahaa.n
ab zeb-e-daastaan hai daar-o-rasan kahaa.n