SEARCH RESULTS
Showing search results for "zindaa.n"
Sher MATCHES FOR "zindaa.n"
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
rok saktaa hame.n zindaan-e-balaa kyaa 'majruuh'
ham to aavaaz hai.n diivaar se chhan jaate hai.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
isii liye to hai zindaa.n ko justujuu merii
ki muflisii ko sikhaa.ii hai sar-kashii mai.n ne
Ali Sardar Jafri
Sher
charaaG-e-husn-e-yuusuf jab ho raushan
rahe phir kis tarah zindaa.n a.ndheraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Saba Akbarabadi
Sher
maqtal-e-jaa.n se ki zindaa.n se ki ghar se nikle
ham to KHushbuu kii tarah nikle jidhar se nikle
Ummeed Fazli
Sher
Saleem Kausar
Sher
zindaa.n me.n bhii shorish na ga.ii apne junuu.n kii
ab sang mudaavaa hai is aashufta-sarii kaa
Meer Taqi Meer
Sher
Waheed Arshi
Sher
aadmii hii ke banaa.e hu.e zindaa.n hai.n ye sab
ko.ii paidaa nahii.n hotaa kisii zanjiir ke saath
Rajesh Reddy
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
na kisii aah kii aavaaz na zanjiir kaa shor
aaj kyaa ho gayaa zindaa.n me.n ki zindaa.n chup hai
Makhdoom Mohiuddin
Sher
Manzoor Arif
Sher
Manzar Lakhnavi
Sher
khul kar aaKHir jahl kaa elaan honaa chaahiye
haq-parasto.n ke liye zindaan honaa chaahiye
Fariha Naqvi
Sher
Gulnar Aafreen
Sher
paa-e-kuubaa.n ko.ii zindaa.n me.n nayaa hai majnuu.n
aatii aavaaz-e-salaasil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Sher
use bahisht ke zindaa.n me.n bhej denaa tum
gunaahgaar-e-mohabbat ko ye sazaa denaa