SEARCH RESULTS
Showing search results for "zindaa.n"
Nazm MATCHES FOR "zindaa.n"
Nazm
dastur
mai.n bhii mansuur huu.n kah do aGyaar se
kyuu.n Daraate ho zindaa.n kii diivaar se
Habib Jalib
Nazm
nisar main teri galiyon ke
bujhaa jo rauzan-e-zindaa.n to dil ye samjhaa hai
ki terii maa.ng sitaaro.n se bhar ga.ii hogii
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
do ishq
is raah me.n jo sab pe guzartii hai vo guzrii
tanhaa pas-e-zindaa.n kabhii rusvaa sar-e-baazaar
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
aao ki koi KHwab bunen
tahziib-e-zindagii ke faroG-e-vatan ke KHvaab
zindaa.n ke KHvaab kuucha-e-daar-o-rasan ke KHvaab
Sahir Ludhianvi
Nazm
walida marhuma ki yaad mein
zarra zarra dahr kaa zindaanii-e-taqdiir hai
parda-e-majbuurii o bechaargii tadbiir hai
Allama Iqbal
Nazm
zindan ki ek sham
shaam ke pech-o-KHam sitaaro.n se
ziina ziina utar rahii hai raat
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
14-August
vatan thaa zehn me.n zindaa.n nahii.n thaa
chaman KHvaabo.n kaa yuu.n viiraa.n nahii.n thaa
Habib Jalib
Nazm
pahli aawaz
jaane zindaa.n se udhar kaun se manzar ho.nge
mujh ko diivaar hii diivaar dikhaa.ii dii hai
Ahmad Faraz
Nazm
ai mere watan ke KHush-nawao
daryuuza-garii ke maqbaro.n se
zindaa.n kii fasiil KHushnumaa hai
Ahmad Faraz
Nazm
zindan ki ek subh
sehn-e-zindaa.n me.n rafiiqo.n ke sunahre chehre
sath-e-zulmat se damakte hu.e ubhre kam kam
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
nama-e-jaanan
ko.ii maqtal ko.ii zindaa.n ko.ii pardes gayaa
chand hii the ki ravish jin kii judaagaana bhii thii
Ahmad Faraz
Nazm
mulaqat
ghar me.n bhii kahaa.n chain se so.e the kabhii ham
jo raat hai zindaa.n me.n vahii raat vahaa.n thii
Habib Jalib
Nazm
bint-e-hawwa
mere jazbe rahe.n dil ke zindaan me.n
merii gustaaKHiyaa.n aap kii shaan me.n