SEARCH RESULTS
Showing search results for "zulmat-e-gam-khaana-e-hayaat"
Sher MATCHES FOR "zulmat-e-gam-khaana-e-hayaat"
Sher
daam-e-Gam-e-hayaat me.n uljhaa ga.ii umiid
ham ye samajh rahe the ki ehsaan kar ga.ii
Tilok Chand Mahroom
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
qaid-e-Gam-e-hayaat bhii kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na sakii umr-bhar phire
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Gam-e-hayaat o Gam-e-dost kii kashaakash me.n
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii ga.e
Aziz Hamid Madni
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
Gam-e-hayaat shariik-e-Gam-e-mohabbat hai
milaa diye hai.n kuchh aa.nsuu mirii sharaab ke saath
Anand Narayan Mulla
Sher
fikr-e-fardaa Gam-e-imroz Gam-e-maut-o-hayaat
aadmii kyaa hu.aa majmuu.a-e-aalaam hu.aa
Mehr Nizami Merathi
Sher
Gam-KHaan-e-jahaa.n me.n vaq.at hii kyaa hamaarii
ik naa-shuniida uf hai.n ik aah-e-be-asar hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Gam-e-hayaat ne aavaara kar diyaa varna
thii aarzuu ki tire dar pe sub.h o shaam kare.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
Gam-e-hayaat ne baKHshe hai.n saare sannaaTe
kabhii hamaare bhii pahluu me.n dil dha.Daktaa thaa
Irfan Ahmad
Sher
Gam-e-hayaat kaa jhag.Daa miTaa rahaa hai ko.ii
chale bhii aa.o ki duniyaa se jaa rahaa hai ko.ii
Sardar Anjum
Sher
Gam-e-hayaat se itnii bhii hai kahaa.n fursat
ki terii yaad me.n jii bhar ke ro liyaa jaa.e
Rifat Sultan
Sher
Gam-e-hayaat ne fursat na dii sunaane kii
chale the ham bhii mohabbat kii daastaa.n le kar
Hasan Tahir
Sher
sau.np kar KHaana-e-dil Gam ko kidhar jaate ho
phir na paa.oge agar us ne ye ghar chho.D diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
Gam-e-hayaat ko yuu.n KHush-gavaar kar liyaa hai
ki ham ne haal ko maazii shumaar kar liyaa hai