SEARCH RESULTS
Showing search results for "آتش_سیال"
Ghazal MATCHES FOR "آتش_سیال"
Ghazal
tairte phirte nazar aate hai.n dono.n aalam
vaa.izo aatish-e-sayyaal ke aa.iine me.n
Sarshar Hoshyarpuri
Ghazal
tez aatish-e-sayyaal hai pahle se ziyaada
ab aag lagaa.e na zaraa piir-e-muGaa.n aur
Riyaz Khairabadi
Ghazal
rago.n me.n aatish-e-sayyaal ban ke dau.Dtii hai
badan me.n aag lagaa detii hai tirii dastak
Yawar Warsi
Ghazal
le ke shiishe me.n chalo aatish-e-sayyaal 'shamiim'
qaazi-e-shahr ke iimaan ko parkhaa jaa.e
Syed Ahmed Shameem
Ghazal
barf ho kar aarizo.n kii ik tamaazat ke tufail
muddato.n ham aatish-e-sayyaal se pighlaa kiye
Yusuf Khalish
Ghazal
jaise lahraa.e ko.ii sho.ala-kamar kii ye lachak
sar-ba-sar aatish-e-sayyaal badan kyaa kahnaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
bujhaa bujhaa saa yahii dil hai is shabaab kii raakh
rago.n me.n dau.D rahii thii jo aatish-e-sayyaal
Haneef Kaifi
Ghazal
Anand Narayan Mulla
Ghazal
KHushbuu hai kabhii gul hai kabhii sham.a kabhii hai
vo aatish-e-sayyaal jo siine me.n bharii hai
Waheed Akhtar
Ghazal
KHaak us aatish-e-sayyaal kii diivaanii hai
jis ko pii pii ke chaTaano.n kaa jigar KHatm hu.aa
Nasim Zahid
Ghazal
Akbar Hyderabadi
Ghazal
use rone do mat roko ki ronaa bhii zaruurii hai
kabhii is aatish-e-sayyaal ko paanii kare.nge ham
Shoaib Nizam
Ghazal
khulne lagaa hai aatish-e-sayyaal kaa bharam
ab bazm-e-mai bhii baa.is-e-'farhat' nahii.n rahii
Prem Shankar Goila Farhat
Ghazal
dhu.aa.n dhu.aa.n hai har ik saa.ns sozish-e-Gam se
ki dil me.n aatish-e-sayyaal hai lahuu to nahii.n
Saadat Nazeer
Ghazal
bach nikalte hai.n agar aatish-e-sayyaal se ham
shola-e-aariz-e-gulfaam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
Ghazal
usii se mere rag-o-pai me.n aatish-e-sayyaal
usii se mere tasavvur ke KHam me.n maah-e-tamaam
Saeed-ul-Zafar Chughtai
Ghazal
Farhat Nadir Rizwi
Ghazal
har nafas se aa.e buu-e-aatish-e-sayyaal-e-ishq
aag vo dil me.n lahuu me.n vo haraarat bhii to ho