SEARCH RESULTS
Showing search results for "انتخاب"
Ghazal MATCHES FOR "انتخاب"
Ghazal
yahaa.n vo kaun hai jo intiKHaab-e-Gam pe qaadir ho
jo mil jaa.e vahii Gam dosto.n kaa mudda.aa hogaa
Jaun Eliya
Ghazal
isii tarah se agar chaahtaa rahaa paiham
suKHan-varii me.n mujhe intiKHaab kar degaa
Parveen Shakir
Ghazal
yuu.n Thahar Thahar ke guzrii shab-e-intizaar yaaro
ki sahar ke hote hote ka.ii ham ne KHvaab dekhe
Jameel Malik
Ghazal
hazaar safho.n kaa diivaan kaun pa.Dhtaa hai
'bashiir-badr' kaa ko.ii intiKHaab de jaa.o
Bashir Badr
Ghazal
'zafar' badal ke radiif aur tuu Gazal vo sunaa
ki jis kaa tujh se har ik sher intiKHaab hu.aa
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
vo mujh ko dastiyaab ba.Dii der tak rahaa
mai.n us kaa intiKHaab ba.Dii der tak rahaa
Ashfaq Ahmad Saim
Ghazal
kisii ke dard-e-mohabbat ne umr-bhar ke liye
KHudaa se maa.ng liyaa intiKHaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Ghazal
mai KHud hii apnii nigaaho.n ki daad detaa huu.n
hazaar chehro.n me.n ik intiKHaab ya.anii tuu
Mehshar Afridi
Ghazal
laakho.n me.n intiKHaab ke qaabil banaa diyaa
jis dil ko tum ne dekh liyaa dil banaa diyaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
khultaa kisii pe kyuu.n mire dil kaa mo.aamla
shero.n ke intiKHaab ne rusvaa kiyaa mujhe
Mirza Ghalib
Ghazal
intiKHaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rotaa hai dil
dekh kar zaaG-o-zaGan ko KHushnavaa.o.n kii jagah
Habib Jalib
Ghazal
savaad chashm-e-bismil intiKHaab-e-nuqta aaraa.ii
KHiraam-e-naaz be-parvaa.ii-e-qaatil pasand aayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
sharm hai tarz-e-talaash-e-intiKHaab-e-yak-nigaah
iztiraab-e-chashm barpaa doKHta-Gammaaz hai