SEARCH RESULTS
Showing search results for "ثمر"
Ghazal MATCHES FOR "ثمر"
Ghazal
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ki us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ja.D ukha.Dne se jhukaa.o hai mirii shaaKHo.n me.n
duur se log samar-baar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
luTaa hu.aa chaman-e-ishq hai nigaaho.n ko
dikhaa gayaa vahii kyaa kyaa gul o samar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
merii saarii zindagii ko be-samar us ne kiyaa
umr merii thii magar us ko basar us ne kiyaa
Muneer Niyazi
Ghazal
kyaa shaaKH-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko
nazre.n uThaa 'shakeb' kabhii saamne bhii dekh
Shakeb Jalali
Ghazal
mehnat mirii aa.ndhii se to mansuub nahii.n thii
rahnaa thaa ko.ii rabt shajar kaa bhii samar se
Parveen Shakir
Ghazal
har baar hai nayaa tire milne kaa zaa.iqa
aisaa samar kisii bhii shajar ne nahii.n diyaa
Adeem Hashmi
Ghazal
gul phe.nke hai auro.n kii taraf balki samar bhii
ai KHaana-bar-andaaz-e-chaman kuchh to idhar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
jhalak rahii hai sar-e-shaaKH-e-mizha KHuun kii buu.nd
shajar me.n pahle samar se kalii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Ghazal
mirii Gulail ke patthar kaa kaar-naama thaa
magar ye kaun hai jis ne samar uThaayaa hai
Rahat Indori
Ghazal
qurbat ke us pe.D kii shaaKHo.n par dekho
phuul udaasii kaa hai samar afsos kaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
kab tak ise sii.nchoge tamannaa-e-samar me.n
ye sabr kaa paudaa to na phuulaa na phalaa hai