SEARCH RESULTS
Showing search results for "ثمرا"
Ghazal MATCHES FOR "ثمرا"
Ghazal
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ki us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
hamraah raqiibo.n ke tujhe baaG me.n sun kar
dil dene kaa samraa hai ki mai.n kuchh nahii.n kahtaa
Asifud Daula
Ghazal
hamraa aur samra ne saalgirah par aiman kii
KHuub chhu.Daa.ii aatish-baazii KHuub uchhaale phuul
Muzaffar Hanfi
Ghazal
ye beTiyo.n kii du.aa.o.n kaa nek-samra hai
kaTii hai umr badan me.n thakaan kuchh bhii nahii.n
Deedar Bastawi
Ghazal
misii par bhii daaGo.n kaa samra na paayaa
charaaG ik lahad par jalaayaa to hotaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
mirii umr-e-do-roza bekasii ke saath kaTtii hai
na apno.n se na Gairo.n se milaa samra riyaazat kaa
Shad Azimabadi
Ghazal
is ko aadam hii kii taqsiir kaa samra kahiye
varna jannat kii ye jaagiir kahaa.n se aa.ii
Karamat Ali Karamat
Ghazal
ye jaan-e-naa-tavaa.n bhii hai kyaa samra-e-hayaat
rakh dii ga.ii hai kaaT ke ik qaash kii tarah
Kavish Badri
Ghazal
phir kisii harf-e-hidaayat kii tarah bojhal saa
simTe simTe se savaabo.n kaa ye samra kyaa hai
Krishn Murari
Ghazal
samra taraqqiyo.n kaa na paa.e hai.n log chand
jo qaum ke liye jiye sab kuchh nisaar kar
Abdul Qadir Saudagar
Ghazal
ja.D ukha.Dne se jhukaa.o hai mirii shaaKHo.n me.n
duur se log samar-baar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
luTaa hu.aa chaman-e-ishq hai nigaaho.n ko
dikhaa gayaa vahii kyaa kyaa gul o samar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
merii saarii zindagii ko be-samar us ne kiyaa
umr merii thii magar us ko basar us ne kiyaa