SEARCH RESULTS
Showing search results for "ثور"
Ghazal MATCHES FOR "ثور"
Ghazal
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ki us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vatan kii sub.h se hijrat kii raat duur nahii.n
hiraa se cha.nd qadam Gaar-e-saur hai bhaa.ii
Shahid Makuli
Ghazal
panaah-gaah mujhe bhii to saur jaisii de
mirii talaash me.n dushman hai.n taaza-dam mere
Afzal Gauhar Rao
Ghazal
hamaaraa ishq haqiiqat me.n Gaar-e-saur-o-hiraa
agarche KHaas aqiidat hame.n hai tuur se bhii
Faisal Nadeem Faisal
Ghazal
Sagheer Ahmad Sagheer
Ghazal
shabo.n ke paas rahe Gaar-e-saur kaa tiryaak
hiraa kaa nuur numuud-e-sahar me.n rakhnaa hai
Mateen Ahmad Mateen
Ghazal
ja.D ukha.Dne se jhukaa.o hai mirii shaaKHo.n me.n
duur se log samar-baar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
luTaa hu.aa chaman-e-ishq hai nigaaho.n ko
dikhaa gayaa vahii kyaa kyaa gul o samar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
merii saarii zindagii ko be-samar us ne kiyaa
umr merii thii magar us ko basar us ne kiyaa
Muneer Niyazi
Ghazal
kyaa shaaKH-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko
nazre.n uThaa 'shakeb' kabhii saamne bhii dekh
Shakeb Jalali
Ghazal
mehnat mirii aa.ndhii se to mansuub nahii.n thii
rahnaa thaa ko.ii rabt shajar kaa bhii samar se
Parveen Shakir
Ghazal
har baar hai nayaa tire milne kaa zaa.iqa
aisaa samar kisii bhii shajar ne nahii.n diyaa
Adeem Hashmi
Ghazal
gul phe.nke hai auro.n kii taraf balki samar bhii
ai KHaana-bar-andaaz-e-chaman kuchh to idhar bhii