SEARCH RESULTS
Showing search results for "جلاد"
Ghazal MATCHES FOR "جلاد"
Ghazal
martaa huu.n is aavaaz pe har chand sar u.D jaa.e
jallaad ko lekin vo kahe jaa.e.n ki haa.n aur
Mirza Ghalib
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
iid hai qatl miraa ahl-e-tamaashaa ke liye
sab gale milne lage jab ki vo jallaad aayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
ajab nashaat se jallaad ke chale hai.n ham aage
ki apne saa.e se sar paa.nv se hai do qadam aage
Mirza Ghalib
Ghazal
ye saKHt-jaa.n to qatl se naashaad rah gayaa
KHanjar chalaa to baazuu-e-jallaad rah gayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
na kuchh zarar hu.aa shamshiir kaa na haatho.n kaa
mire hii sar pe ai jallaad jo hu.aa so hu.aa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
the be-gunaah jur.at-e-paa-bos thii zaruur
kyaa karte vahm-e-KHajlat-e-jallaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Ghazal
Bhartendu Harishchandra
Ghazal
jallaad se Darte hai.n na vaa.iz se jhaga.Dte
ham samjhe hu.e hai.n use jis bhes me.n jo aa.e
Mirza Ghalib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n to chyuu.nTii ke kuchalne se hazar rakhtaa thaa
phir mujhe kis ne tah-e-zaanuu-e-jallaad kiyaa
Saqib Lakhnavi
Ghazal
taqsiir na KHuubaa.n kii na jallaad kaa kuchh jurm
thaa dushman-e-jaanii miraa iqraar-e-mohabbat
Meer Taqi Meer
Ghazal
jis pe martaa huu.n use dekh to luu.n jii bhar ke
itnii jaldii tuu mire qatl me.n jallaad na kar
Bedam Shah Warsi
Ghazal
mansuur to sar de ke subuk ho gayaa lekin
jallaad se puuchhe ko.ii jallaad kaa aalam
Jigar Moradabadi
Ghazal
chhuuTuu.n kahii.n iizaa se lagaa ek hii jallaad
taa-hashr mire sar pe ye ehsaan rahegaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
Shah Aasim
Ghazal
kyaa gunah kyaa jurm kyaa taqsiir merii kyaa KHataa
ban gayaa jo is tarah haq me.n mire jallaad tuu