SEARCH RESULTS
Showing search results for "حلال"
Ghazal MATCHES FOR "حلال"
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
gulaabii aa.nkho.n me.n aise bha.nvar the mastii ke
sharaab Duub ke un me.n bahut halaal lagii
Shahzad Qais
Ghazal
fatvaa diyaa hai muftii-e-abr-e-bahaar ne
tauba kaa KHuun baada-kasho.n ko halaal hai
Jaleel Manikpuri
Ghazal
mire janaaze pe ab aate sharm aatii hai
halaal karne ko baiThe the jab hijaab na thaa
Ameer Minai
Ghazal
halaal rizq kaa matlab kisaan se puuchho
pasiina ban ke badan se lahuu nikaltaa hai
Aadil Rasheed
Ghazal
gul o samar kaa to ronaa alag rahaa lekin
ye Gam ki farq-e-haraam-o-halaal se bhii ga.e
Aziz Hamid Madni
Ghazal
sau jaan se fidaa huu.n mohammad ke naam par
jis ne bataayaa farq haraam o halaal kaa
Aagha Akbarabadi
Ghazal
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
luqma halaal kaa jo milaa ahl-kaar ko
us ne chabaa ke thuuk diyaa paan kii tarah
Sarfaraz Shahid
Ghazal
halaal rizq mayassar ho kyaa unhe.n 'saarim'
ki jin parindo.n ko chugnaa hai sirf daana-e-shab
Arshad Jamal Sarim
Ghazal
abhii hai vaise kaa vaisaa hii haal andar kaa
ki umr Dhal ga.ii dil kii safaa.ii karte hu.e
aabid umar
Ghazal
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
jo aam saa ik savaal puuchhaa to kyaa kahe.nge
kisii ne ham se bhii haal puuchhaa to kyaa kahe.nge
Kabeer Athar
Ghazal
shabaab se tirii ra.ngat kaa turfa haal hu.aa
sapiid jo.Daa jo pahnaa badan me.n laal hu.aa
Aagha Akbarabadi
Ghazal
qaatil hai kis maze se namak-paash-e-zaKHm-e-dil
bismil zaraa ta.Dap ke namak to halaal kar
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
ruke na daur ki ab tak ba-zer-e-charKH-e-kabuud
riyaa halaal hai sahbaa haraam hai saaqii