SEARCH RESULTS
Showing search results for "خدا_داد_بتاں"
Ghazal MATCHES FOR "خدا_داد_بتاں"
Ghazal
aalam-e-husn KHudaa-daad-e-butaa.n hai ki jo thaa
naaz-o-andaaz balaa-e-dil-o-jaa.n hai ki jo thaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
jalva-e-husn-e-KHudaa-daad dikhaa kar dilbar
misl-e-aa.iina kiyaa aap ne hairaa.n mujh ko
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
hai ishq vo ne.amat jo KHariidii nahii.n jaatii
ye shai hai KHudaa-daad KHudaa-daad rahegii
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal
kuchh tamannaa.e.n hai.n KHudaa kii den
tuu KHudaa-daad inhe.n bahaa.o samajh
Mohan Singh Deewana
Ghazal
mere ash'aar mire zehn kii iijaad nahii.n
kaun kahtaa hai mirii fikr KHudaa-daad nahii.n
Adnan Akhtar Azmi
Ghazal
hotii hai tabii.at hii KHudaa-daad kisii kii
ulfat me.n vafaa.e.n nahii.n iijaad kisii kii
Muneer Bhopali
Ghazal
na to raftaar bure aur na guftaar bure
jitnii us shab me.n adaa.e.n hai.n KHudaa-daad hai.n sab
Imdad Ali Bahr
Ghazal
ye hai suurat ise kahte hai.n KHudaa-daad jamaal
huuro.n se hai tirii tasviir kaa KHaaka achchhaa
Shah Akbar Danapuri
Ghazal
tum KHudaa-e-suKHan aaraa.ish-e-afkaar ho 'miir'
merii Gazlo.n ko KHudaa-daad kahegii duniyaa
Rakesh Dilbar
Ghazal
ba.ad ustaad ke hai KHatm Gazal 'beKHud' par
mo.ajaza kahiye ise tab-e-KHudaa-daad nahii.n
Bekhud Dehlvi
Ghazal
kufr-o-islaam baraabar hai.n zamaan-e-rahmat
husn jitne hai.n zamaane me.n KHudaa-daad hai.n sab
Naseem Dehlvi
Ghazal
jii bhar ke qatl-e-'aam kiyaa pahle har taraf
phir us ne mamlikat ko KHudaa-daad kar diyaa
Nomaan Shauque
Ghazal
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz KHudaa-daad nahii.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Ghazal
phir mai.n bhii karuu.n kyuu.n na 'hafiiz' is pe tasallut
jaagiir nahii.n tab-e-KHudaa-daad kisii kii
Hafeez Jalandhari
Ghazal
aalam-e-husn hai vo naqsh-e-ma.aanii 'saaqib'
jo mirii tab-e-KHudaa-daad ne iijaad kiyaa
Saqib Lakhnavi
Ghazal
suKHan me.n apne KHudaa-daad hai ye husn-e-butaa.n
ki KHaar murG-e-chaman ko hai KHush-navaa.ii kaa
Inayatullah Raushan Badauni
Ghazal
mil ke shaitaa.n se likhaa lii ye zamii.n naam apne
phir ise mulk-e-KHudaa-daad kiyaa hai mai.n ne
Farhat Ehsas
Ghazal
husn-o-shabaab shaan-e-KHudaa-daad baa.nkpan
ik ek kar ke luT ga.e fikr-e-ma'aash me.n
Gauhar Aziz
Ghazal
andesha-e-rusvaa.ii se ab aur kahaa.n tak
tash.hiir-e-Gam-e-ishq KHudaa-daad karoge