SEARCH RESULTS
Showing search results for "ذقن"
Ghazal MATCHES FOR "ذقن"
Ghazal
hai naaz-e-husn se jo farozaa.n jabiin-e-yaar
labrez aab-e-nuur hai chaah-e-zaqan tamaam
Hasrat Mohani
Ghazal
nashiilii Tho.Dii tabassum taraazuu chaah-e-zaqan
KHamiida KHandaa.n KHajista KHumaar patlii galii
Shahzad Qais
Ghazal
muddat se terii chaah-e-zaqan me.n Gariiq huu.n
billaah mujh ko yuusuf-e-kan.aan kii qasam
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
serii na hogii tishna-e-diidaar ke liye
paanii nahii.n chah-e-zaqan-e-yaar ke liye
Haidar Ali Aatish
Ghazal
zavaal husn khilvaataa hai meve kii qasam mujh se
lagaayaa daaG KHat ne aan kar seb-e-zaqan big.Daa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
pyaasaa huu.n is qadar ki miraa dil jo gir pa.Daa
paanii ubal ke chaah-e-zaqan se nikal gayaa
Ameer Minai
Ghazal
Haidar Ali Aatish
Ghazal
Goya Faqir Mohammad
Ghazal
chaah-e-zaqan se un ke sairaab to hu.e ham
miiThe ku.o.n se achchhaa khaaraa ku.aa.n hamaaraa
Shauq Bahraichi
Ghazal
dahan kaa lab kaa zaqan kaa jabii.n kaa bosa do
hame.n to lene se matlab kahii.n kaa bosa do
Maqsood Ahmad Nutq Kakorwi
Ghazal
husn gulzaar qamar shakl suraahii gardan
mah-jabii.n seb-e-zaqan chaah-e-zanaKHdaan parii
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
jaise ku.e.n me.n ho ko.ii taaraa chamak rahaa
dil suujhtaa hai yuu.n tah-e-chaah-e-zaqan mujhe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
dekhte hai.n taraf-e-chaah-e-zaqan ulfat se
muft me.n ham ko Dubotii hai.n hamaarii aa.nkhe.n
Taashshuq Lakhnavi
Ghazal
us zaqan me.n bhii sabzii hai KHat kii
dekho jiidhar ku.n.e.n pa.Dii hai bhaa.ng
Meer Taqi Meer
Ghazal
nahii.n tohfa KHat-e-jaanaa.n ke baraabar ko.ii
hai mujhe qand-o-zaqan se kahii.n behtar kaaGaz
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
kabhii aa.nkhe.n kabhii ruKHsaar-o-zaqan nochtii hai
ab mirii ruuh faqat meraa badan nochtii hai
Lucky farooqi Hasrat
Ghazal
KHat se vo zor safaa-e-husn ab kam ho gayaa
chaah-e-yuusuf thaa zaqan so chaah-e-rustam ho gayaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
zaqan o ruKH me.n na jaasuuso.n se baaqii rakkhii
samar-e-gul chaman-e-husn ke saare to.De