SEARCH RESULTS
Showing search results for "زیادہ"
Ghazal MATCHES FOR "زیادہ"
Ghazal
hu.ii jin se tavaqqo' KHastagii kii daad paane kii
vo ham se bhii ziyaada KHasta-e-teG-e-sitam nikle
Mirza Ghalib
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
junuu.n kaa hajm ziyaada tumhaaraa zarf hai kam
zaraa saa gamlaa hai is me.n shajar lagegaa nahii.n
Umair Najmi
Ghazal
mai.n jis koshish se us ko bhuul jaane me.n lagaa huu.n
ziyaada bhii agar lag jaa.e to hafta lagegaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
aur kyaa is se ziyaada ko.ii narmii bartuu.n
dil ke zaKHmo.n ko chhu.aa hai tire gaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
kaar-e-jahaa.n hame.n bhii bahut the safar kii shaam
us ne bhii iltifaat ziyaada nahii.n kiyaa
Parveen Shakir
Ghazal
hisaab-e-lutf-e-hariifaa.n kiyaa hai jab to khulaa
ki dosto.n ne ziyaada KHayaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
be-KHayaalii me.n yuu.nhii bas ik iraada kar liyaa
apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liyaa
Muneer Niyazi
Ghazal
vahii to sab se ziyaada hai nukta-chii.n meraa
jo muskuraa ke hamesha gale lagaa.e mujhe
Qateel Shifai
Ghazal
Shabeena Adeeb
Ghazal
miTTii me.n milaa de ki judaa ho nahii.n saktaa
ab is se ziyaada mai.n tiraa ho nahii.n saktaa
Munawwar Rana
Ghazal
zulfo.n kii to fitrat hii hai lekin mire pyaare
zulfo.n se ziyaada tumhii.n bal khaa.e chalo ho
Kaleem Aajiz
Ghazal
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
ab jidhar dekhiye lagtaa hai ki is duniyaa me.n
kahii.n kuchh chiiz ziyaada hai kahii.n kuchh kam hai
Shahryar
Ghazal
tumhe.n to shahr ke aadaab tak nahii.n aate
ziyaada kuchh yahaa.n puuchhaa-guchhaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Ghazal
chaa.nd ziyaada raushan hai to rahne do
jugnuu-bhayyaa jii mat bhaarii kiyaa karo
Rahat Indori
Ghazal
barbaad-e-tamannaa pe itaab aur ziyaada
haa.n merii mohabbat kaa javaab aur ziyaada