SEARCH RESULTS
Showing search results for "ساغر_جم"
Ghazal MATCHES FOR "ساغر_جم"
Ghazal
paimaane hii kyaa saaGar-e-jam TuuT rahe hai.n
is daur me.n sadiyo.n ke bharam TuuT rahe hai.n
Saghar Mehdi
Ghazal
laakho.n kaa sahaaraa hai yahii jaam-e-sifaalii.n
saaGar ko kabhii saaGar-e-jam hone na de.nge
Saghar Nizami
Ghazal
dii mai-e-naab to ab saaGar-e-jam bhii de de
dil diyaa hai to mujhe taab-e-alam bhii de de
Abdur Rasheed Qamar
Ghazal
aur baazaar se le aa.e agar TuuT gayaa
saaGar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
saaGar-e-jam se to naKHvat ba.Dh ga.ii
saaqiyaa jaam-e-sifaalii.n kyaa hu.aa
Riyazi Burhanpuri
Ghazal
dikhaa rahaa hai ye dono.n jahaa.n kii kaifiyat
karegaa saaGar-e-jam kyaa muqaabla dil kaa
Yagana Changezi
Ghazal
hamaaraa jaam-e-sifaalii.n hii phir Ganiimat thaa
milii sharaab bhalaa kis ko saaGar-e-jam se
Javed Vashisht
Ghazal
pyaase hii guzar jaa.e.nge ham raah-e-talab se
ibrat ke liye saaGar-e-jam saath rahegaa
Qateel Shifai
Ghazal
jaisaa jaam-e-jahaa.n-numaa hai dil
sair vo kab hai saaGar-e-jam me.n
Meer Muzaffar Husain Zameer
Ghazal
khol aa.nkhe.n zaraa mast hai kyaa saaGar jam se
hai gardish-e-ayyaam kii kuchh tujh ko KHabar bhii
Yagana Changezi
Ghazal
garaa.n hai miTTii kaa TuuTaa hu.aa piyaala ab
yahii vo haath hai.n kal jin me.n saaGar-e-jam thaa
Ishrat Qadri
Ghazal
jashn-e-jamshed mayassar hai ki dil rakhte hai.n
jaam ye aur sahii saaGar-e-jam aur sahii
Meer Mohammad Sultan Aaqil
Ghazal
chhalaktii aa.e ki apnii talab se bhii kam aa.e
hamaare saamne saaqii ba-saaGar-e-jam aa.e