SEARCH RESULTS
Showing search results for "عاجزی"
Ghazal MATCHES FOR "عاجزی"
Ghazal
chhupaa hu.aa hai tirii aajizii ke tarkash me.n
anaa ke tiir isii zahr me.n bujhaayaa kar
Saqi Faruqi
Ghazal
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Ghazal
isii ne mujh se kahaa ‘aajizii se maat na khaa
isii ne mujh se kahaa maslahat kii chaal na chal
Ahmad Faraz
Ghazal
aajizii baKHshii ga.ii tamkanat-e-faqr ke saath
dene vaale ne hame.n kaun sii daulat nahii.n dii
Iftikhar Arif
Ghazal
misaal denii to apnii hii zaat kii denii
to phir Guruur hai kyaa aajizii agar hai yahii
Murtaza Barlas
Ghazal
kartii hai aajizii-e-safar soKHtan tamaam
pairaahan-e-KHasak me.n Gubaar-e-sharar hai aaj
Mirza Ghalib
Ghazal
ashk agar sab ne likhe mai.n ne sitaare likkhe
aajizii sab ne likhii mai.n ne ibaadat likkhaa
Azm Bahzad
Ghazal
hame.n Daraayaa gayaa kab sikhaayaa DaT jaanaa
ham aise log faqat aajizii ke qaabil hai.n
Sabahat Urooj
Ghazal
zinda rakhii.n buzurgo.n kii ham ne rivaayate.n
dushman se bhii mile to mile aajizii se ham
Majid Ali Kavish
Ghazal
is tarah munsalik hu.aa urdu zabaan se
miltaa huu.n ab sabhii se ba.Dii aajizii ke saath
Bashir Mehtaab
Ghazal
bandisho.n ko to.Dne kii koshishe.n kartii hu.ii
sar paTaktii lahr terii aajizii achchhii lagii
Aleena Itrat
Ghazal
Muzdam Khan
Ghazal
javaab dene ko jii chaahtaa nahii.n us ko
savaal vaise ba.Dii aajizii se kartaa hai
Atul Ajnabi
Ghazal
aajizii aaj hai mumkin hai na ho kal mujh me.n
is tarah 'aib nikaalo na musalsal mujh me.n
Nusrat Mehdi
Ghazal
baraa.e ahl-e-jahaa.n laakh kaj-kulaah the ham
ga.e hariim-e-suKHan me.n to aajizii se ga.e
Irfan Sattar
Ghazal
us shaan-e-aajizii ke fidaa jis ne 'aarzuu'
har naaz har Guruur ke qaabil banaa diyaa
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
mujh ko saadaat kii nisbat ke sabab mere KHudaa
aajizii denaa takabbur kii adaa mat denaa