SEARCH RESULTS
Showing search results for "عریانیت"
Ghazal MATCHES FOR "عریانیت"
Ghazal
kabhii kabhaar tire jism kaa akelaa-pan
mire KHayaal kii uryaaniyat ko Dhak jaa.e
Shakeel Azmi
Ghazal
badan qubuul hai uryaaniyat kaa maaraa hu.aa
magar libaas na pahne.nge ham utaaraa hu.aa
Saleem Siddiqui
Ghazal
jo azal se hai.n safiir uryaaniyat ke un ke bhii
zaaviye sab soch ke poshaak par hai.n aaj bhii
Zameer Atraulvi
Ghazal
vasii.a itnii hai uryaaniyat ye jaa.n kii dekh
badan ke dhakne ko ye kitne aasmaa.n legii
Atif Khan
Ghazal
laakh tahziib ke Gaaro.n me.n chhupe ham 'aKHtar'
phir bhii uryaaniyat-e-vaqt se daaman na bachaa
Sultan Akhtar
Ghazal
vo apnii aa.nkh kii uryaaniyat chhupaane ko
hayaa kii aa.nkh pe chaadar pahan ke niklaa hai
Mohsin Aftab Kelapuri
Ghazal
ma.aashre me.n vo uryaaniyat kaa aalam hai
ye lag rahaa hai libaaso.n ne KHud-kushii kar lii
Ayyub Khan Bismil
Ghazal
uryaaniyat kii auj-e-surayyaa me.n pha.ns ga.e
vahshat me.n log raqs-e-barahna me.n pha.ns ga.e
Shahid Jamal
Ghazal
ye fashion jo hai ab ‘uryaaniyat kaa
nahii.n thaa bhaa.ii mere tab nahii.n thaa
Ishrat Sagheer
Ghazal
ab bhii rivaaj-o-rasm vahii hai.n magar kahaa.n
uryaaniyat ke parda-e-poshaak kam hu.e
Qurban Aatish
Ghazal
Asrarul Haq Majaz
Ghazal
meraa maalik jab taufiiq arzaanii kartaa hai
gahre zard zamiin kii ra.ngat dhaanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
sukuut chhaayaa hai insaaniyat kii qadro.n par
yahii hai mauqa-e-iz.haar aa.o sach bole.n
Qateel Shifai
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
aa.nch aatii hai tire jism kii uryaanii se
pairahan hai ki sulagtii hu.ii shab hai ko.ii
Nasir Kazmi
Ghazal
tamaam jism kii uryaaniyaa.n thii.n aa.nkho.n me.n
vo merii ruuh me.n utraa hijaab pahne hu.e