SEARCH RESULTS
Showing search results for "عقوبت"
Ghazal MATCHES FOR "عقوبت"
Ghazal
had chaahiye sazaa me.n uquubat ke vaaste
aaKHir gunaahgaar huu.n kaafar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
har ek uquubat se hai talKHii me.n savaa-tar
vo rang jo naa-karda gunaaho.n kii sazaa hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
sar-e-tasliim hai KHam izn-e-uquubat ke baGair
ham to sarkaar ke maddaah hai.n KHil.at ke baGair
Irfan Siddiqi
Ghazal
jurm-e-naa-karda uquubat kaa sazaa-vaar rahaa
shaiKH sarshaar-e-siyah mastii-e-pindaar rahaa
Anwar Dehlvi
Ghazal
kartaa hai kis gunah pe uquubat hame.n tuu yaar
ta.aziir ke to vaaste taqsiir shart hai
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
ka.ii baar us ne dekhaa aaj chashm-e-qahr se ham ko
sazaa-vaar-e-uquubat to hu.e ai baKHt baare ham
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
Sada Ambalvi
Ghazal
mire ghar ko uquubat-gaah me.n tabdiil kar ke
mire KHvaabo.n ko zanjiire.n lagaa.ii jaa rahii hai.n