SEARCH RESULTS
Showing search results for "فولاد"
Ghazal MATCHES FOR "فولاد"
Ghazal
phuul ban kar jo jiyaa hai vo yahaa.n maslaa gayaa
ziist ko faulaad ke saa.nche me.n Dhalnaa chaahiye
Gopaldas Neeraj
Ghazal
faulaad se faulaad to kaT saktaa hai lekin
qaanuun se qaanuun ko badlaa nahii.n jaataa
Muzaffar Warsi
Ghazal
ho gayaa farz mujhe shauq kaa daftar likhnaa
jab mire haath ko.ii KHaama-e-faulaad aayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
baaG me.n aisii havaa.o.n kaa chalan aam hu.aa
phuul saa haath bhii faulaad banaa phirtaa hai
Imran Aami
Ghazal
gha.Dii me.n sang gha.Dii mom aur gha.Dii faulaad
KHudaa hii jaane ye aalii-janaab hai kyaa chiiz
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
dil tiraa faulaad ho to aap ho aa.iina-vaar
saaf yak-baarii sune merii agar ruudaad tuu
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
nazar aataa hai un me.n beshtar ik narm-o-naazuk dil
masaa.ib ke liye siine ko jo faulaad karte hai.n
Saraswati Saran Kaif
Ghazal
aa.iina jo paanii me.n hai Garq ye baa.is hai
tujh saKHt-dilii aage faulaad bahut royaa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
pahle faulaad banaa jism ko apne ai dost
baarish-e-sa.ng me.n shiisha saa badan le ke na chal
Abrar Kiratpuri
Ghazal
suurat-gar-e-ajal kaa kyaa haath thaa kahe to
khii.nchii vo teG-e-abruu faulaad ke qalam se
Meer Taqi Meer
Ghazal
ek parvaaz ko bhii ruKHsat-e-sayyaad nahii.n
varna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulaad nahii.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
rakhtaa hai garche aa.ina faulaad kaa jigar
tiir-e-nigah ke saamne laachaar hovegaa
Siraj Aurangabadi
Ghazal
Riaz Majeed
Ghazal
zar agar barsar-e-faulaad nahii.n narm shu.ad
zor kaa zor dharaa rahtaa hai zar ke aage
Meer Hasan
Ghazal
Gam-e-dildaar ne rag rag kaa lahuu chuus liyaa
mujh se ab chhe.D tuu ai nashtar-e-faulaad na kar
Abdul Aleem Aasi
Ghazal
jism aisaa hai ki faulaad bhii sharminda ho
dhuup aisii hai ki parchhaa.ii pighal saktii hai