SEARCH RESULTS
Showing search results for "لبریز"
Ghazal MATCHES FOR "لبریز"
Ghazal
hai naaz-e-husn se jo farozaa.n jabiin-e-yaar
labrez aab-e-nuur hai chaah-e-zaqan tamaam
Hasrat Mohani
Ghazal
dil vo hai ki fariyaad se labrez hai har vaqt
ham vo hai.n ki kuchh mu.nh se nikalne nahii.n dete
Akbar Allahabadi
Ghazal
chashm-e-saaqii asar-e-mai se nahii.n hai gul-ra.ng
dil mire KHuun se labrez hai paimaane kaa
Fani Badayuni
Ghazal
shaayad ki mar gayaa tire ruKHsaar dekh kar
paimaana raat maah kaa labrez-e-nuur thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
laal Dore tirii aa.nkho.n me.n jo dekhe to khulaa
mai-e-gul-ra.ng se labrez hai.n paimaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Ghazal
saaqii ke talattuf ne aalam ko chhakaayaa hai
labrez hamaaraa hii ik jaam nahii.n hotaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
yuu.n chaTaktii hai.n KHaraabaat me.n jaise kaliyaa.n
tishnagii saaGar-e-labrez se Takraatii hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
dil-e-tabaah ko kuchh aur kar ga.ii zaKHmii!
vo ik nigaah jo labrez-e-iltifaat hu.ii
Abdul Hamid Adam
Ghazal
zamiir-e-laala mai-e-laal se hu.aa labrez
ishaara paate hii suufii ne to.D dii parhez
Allama Iqbal
Ghazal
Makhmoor Dehlvi
Ghazal
kisii kii mahfil-e-ishrat me.n paiham daur chalte hai.n
kisii kii umr kaa labrez hone ko hai paimaana
Bedam Shah Warsi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
har zarra aah jis kaa labrez-e-tishnagii hai
us KHaak kii bhii jaanib ai abr-e-tar guzarnaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
labrez kar is daur me.n ai saaqii-e-kam-zarf
mat rakh mai-e-gulguu.n se tahii jaam hamaaraa
Shah Naseer
Ghazal
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
labrez mai-e-saaf se ho.n jaam-e-bilorii.n
zamzam se hai matlab na safaa se na hajar se
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
shukraana-e-saaqi-e-azal kartaa hai 'aatish'
labrez mai-e-shauq se paimaana hai us kaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
paimaana merii umr kaa labrez ho kahii.n
saaqii mujhe bhii ab to pyaala pilaa chuke