SEARCH RESULTS
Showing search results for "لوبان"
Ghazal MATCHES FOR "لوبان"
Ghazal
lobaan me.n chingaarii jaise ko.ii rakh jaa.e
yuu.n yaad tirii shab bhar siine me.n sulagtii hai
Bashir Badr
Ghazal
gulaab ambar-o-raihaan motiyaa lobaan
kisii kii zulf-e-mo'attar me.n sab kii KHushbuu milii
Shahzad Qais
Ghazal
shaam ne jab palko.n pe aatish-daan liyaa
kuchh yaado.n ne chuTkii me.n lobaan liyaa
Rahat Indori
Ghazal
mai.n ko.ele kii tarah sulagne lagaa huu.n jaan
lobaan ke dhu.e.n sii bikharne lagii ho tum
Tanveer Ghazi
Ghazal
jab ki biimaar-e-mohabbat kaa nahii.n mumkin ilaaj
de rahe hai.n phuu.nk kar bekaar use lobaan shaiKH
Shauq Bahraichi
Ghazal
hasrato.n kaa abhii lobaan sulag jaa.e zaraa
phir dhu.e.n par terii tasviir banaanii hai mujhe
Shahnawaz Ansari
Ghazal
maa.n dhartii ko pesh-suKHan ke rang-birange phuul
bhaag bharii ko bhe.nT sunahre misre kaa lobaan
Ahmad Jahangir
Ghazal
marg-e-mabram saath le aatii hai jab jab zindagii
phir kafan lobaan aur taabuut ho jaataa huu.n mai.n
Ashk Almas
Ghazal
jazba-e-dil me.n jo sachchaa.ii kii dha.Dkan ubhre
ishq lobaan bane pyaar se KHushbuu aa.e
Meena Naqvi
Ghazal
hindii mahak rahii hai lobaan jaisii merii
lahje ko mai.n ne apne urdu kiyaa hu.aa hai
Rehman Musawwir
Ghazal
shaitaan merii zaat ke andar muqiim thaa
lobaan koTharii me.n jalaayaa nikal gayaa
Imdad Akash
Ghazal
maa.ngii jo du.aa ham ne us shoKH se milne kii
lobaan kii KHushbuu se ba.Dh kar vo du.aa mahkii
Shakeel Gwaliari
Ghazal
lobaan ke dhu.e.n me.n tasavvuf ke zikr par
paudo.n kii tarah hilte rahe ahl-e-anjuman