SEARCH RESULTS
Showing search results for "مصلوب"
Ghazal MATCHES FOR "مصلوب"
Ghazal
yaaro mujhe masluub karo tum ki mire baad
shaayad ki tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
kar de.n masluub unhe.n laakh zamaane vaale
haq-parasto.n ko kahaa.n daar se Dar lagtaa hai
Afzal Allahabadi
Ghazal
Shahid Kabir
Ghazal
masluub hu.aa ko.ii sar-e-raah-e-tamannaa
aavaaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
jaantaa huu.n mujhe masluub kiyaa jaa.egaa
KHud ko sach kah ke gunahgaar kiyaa hai mai.n ne
Shakeel Azmi
Ghazal
mujh ko nafrat se nahii.n pyaar se masluub karo
mai.n to shaamil huu.n mohabbat ke gunahgaaro.n me.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
mujrim thaa jo vo apnii zehaanat se bach gayaa
jis se KHataa na kii thii vo masluub ho gayaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
masluub ho rahaa thaa magar ha.ns rahaa thaa mai.n
aa.nkho.n me.n ashk le ke KHudaa tak nahii.n gayaa
Faisal Ajmi
Ghazal
shaah-raaho.n pe hamii.n to nahii.n masluub hu.e
qatl-e-mahtaab ne KHud ko bhii lab-e-baam kiyaa
Ambar Bahraichi
Ghazal
masluub ho ga.e jinhe.n matlab thaa ishq se
daulat kii thii talab jinhe.n shaddaad ho ga.e
Khan Hasnain Aqib
Ghazal
tum ne sach bolaa hai masluub tumhe.n honaa hai
apne kaa.ndhe pe saliib apnii uThaa.e rakkho
Farhat Shahzad
Ghazal
mai.n sadaaqat huu.n mujhe maut nahii.n aa.egii
vaise masluub ka.ii baar kiyaa jaa.egaa
Afzal Allahabadi
Ghazal
ham ko masluub karo laasha jalaa do chaahe
qabl-e-ta.aziir ko.ii sun.naa-sunaanaa bhii to ho
Shoib Bukhari
Ghazal
kyaa farz hai ki iisaa-o-mariyam dikhaa.ii de
masluub dard chiiKHe ki mai.n ibtilaa me.n huu.n
Ibraheem Hosh
Ghazal
kis ko hai ye KHabar ki ba-unvaan-e-zindagii
kis husn-e-ehtimaam se masluub ham hu.e
Himayat Ali Shayar
Ghazal
lamho.n ke liye ek nazar un ko to dekho
sadiyo.n kii saliibo.n pe jo masluub rahe hai.n
Iqbal Kaifi
Ghazal
muftiyo muhtasibo haa.n mujhe masluub karo
zindagii jurm agar hai to KHataavaar huu.n mai.n