SEARCH RESULTS
Showing search results for "نعمت"
Ghazal MATCHES FOR "نعمت"
Ghazal
be-faa.eda alam nahii.n be-kaar Gam nahii.n
taufiiq de KHudaa to ye nemat bhii kam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
nemat-e-ziist kaa ye qarz chukegaa kaise
laakh ghabraa ke ye kahte rahe.n mar jaa.e.nge
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ye ek hii to ne.amat-e-insaa.n-navaaz thii
dil mujh ko mill gayaa to KHudaa.ii ko kyaa milaa
Seemab Akbarabadi
Ghazal
kare jis qadar shukr-e-ne'mat vo kam hai
maze luuTtii hai zabaa.n kaise kaise
Haidar Ali Aatish
Ghazal
jo mujh me.n tujh me.n chalaa aa rahaa hai sadiyo.n se
kahii.n hayaat usii faasle kaa naam na ho
Waseem Barelvi
Ghazal
yaad-e-mahbuub faraamosh na hove ai dil
husn-e-niyyat ne mujhe ishq se ne.amat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
na hai sitaare kii gardish na baazi-e-aflaak
KHudii kii maut hai teraa zavaal-e-nemat-o-jaah
Allama Iqbal
Ghazal
Hafeez Jalandhari
Ghazal
zindagii nazr guzaarii to milii chaadar-e-KHaak
is se kam par to ye ne.amat nahii.n milne vaalii
Iftikhar Arif
Ghazal
ilm kii had se pare banda-e-momin ke liye
lazzat-e-shauq bhii hai nemat-e-diidaar bhii hai
Allama Iqbal
Ghazal
aziyyato.n me.n bhii baKHshii mujhe vo ne'mat-e-sabr
ki mere dil me.n girah hai na mere maathe pe bal
Ahmad Faraz
Ghazal
umr-bhar ishq kisii taur na kam ho aamiin
dil ko har roz ataa ne.amat-e-Gam ho aamiin
Rehman Faris
Ghazal
ne.amat-e-Gam meraa hissa mujh ko de de ai KHudaa
jama.a rakh merii KHushii saare zamaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Ghazal
saarii duniyaa se anokhii hai zamaane se judaa
nemat-e-KHaas hai allaah re qismat merii
Fani Badayuni
Ghazal
falak kii tarah jafaa.e.n na kiijiye har roz
isii qadar hai ye ne.amat jo gaah gaah mile
Dagh Dehlvi
Ghazal
KHudaa ne mujh ko bin-maa.nge ye nemat dii hai 'manzar'
taraste hai.n bahut se log mamtaa dekhne ko