SEARCH RESULTS
Showing search results for "نقشے"
Ghazal MATCHES FOR "نقشے"
Ghazal
ghar kii ta.amiir tasavvur hii me.n ho saktii hai
apne naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai
Shahryar
Ghazal
ye jo khi.Dkii hai naqshe me.n tumhaare
yahaa.n mai.n dar banaanaa chaahtaa huu.n
Fahmi Badayuni
Ghazal
Shahryar
Ghazal
bane.nge uu.nche makaano.n me.n baiTh kar naqshe
to apne hisse me.n miTTii kaa ghar na aa.egaa
Waseem Barelvi
Ghazal
jo zindagii thii mirii jaan! tere saath ga.ii
bas ab to umr ke naqshe me.n vaqt bharnaa hai
Amjad Islam Amjad
Ghazal
jannat me.n KHaak baada-parasto.n kaa dil lage
naqshe nazar me.n sohbat piir-e-muGaa.n ke hai.n
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
Munawwar Rana
Ghazal
vahaa.n diivaar uThaa dii mire memaaro.n ne
ghar ke naqshe me.n muqarrar thaa jahaa.n dar honaa
Saleem Ahmed
Ghazal
vo pahle tanhaa KHazaane ke KHvaab dekhtaa thaa
ab apne haath bhii naqshe puraane lag ga.e hai.n
Azhar Faragh
Ghazal
guzro kisii bastii se zaraa bhes badal kar
naqshe me.n tumhe.n shahr-e-sitamgar na milegaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
makaa.n ke naqshe pe diivaar likh diyaa kis ne
yahaa.n to meraa iraada thaa dar banaane kaa
Saleem Ahmed
Ghazal
qirtaas pe naqshe hame.n kyaa kyaa nazar aa.e
sab KHushk nazar aa.e jo dariyaa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
Zaheer Kashmiri
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
Rakib Mukhtar
Ghazal
naqshe me.n aaj Dhuu.nDne baiThaa huu.n vo zamii.n
jis ko hazaar Tuk.Do.n me.n baa.nTaa nahii.n gayaa