SEARCH RESULTS
Showing search results for "نقصان"
Ghazal MATCHES FOR "نقصان"
Ghazal
Mohsin Naqvi
Ghazal
tuu yak-jahaa.n qamaash-e-havas jam.a kar ki mai.n
hairat-mataa-e-aalam-e-nuqsaan-o-suud thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
raat ko jiit to paataa nahii.n lekin ye charaaG
kam se kam raat kaa nuqsaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Ghazal
pahle bhii 'qatiil' aa.nkho.n ne khaa.e ka.ii dhoke
ab aur na biinaa.ii kaa nuqsaan kiyaa jaa.e
Qateel Shifai
Ghazal
tujh ko supurdagii me.n simaTnaa bhii hai zaruur
sachchaa hai kaarobaar to nuqsaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Ghazal
tum aa.oge numaa.ish-e-saamaan dekh kar
kyo.n kaarobaar chho.D duu.n nuqsaan dekh kar
Himanshi Babra
Ghazal
mai.n agar apnii KHushii se ek din bhii kaaT luu.n
aap logo.n kaa bahut nuqsaan ho jaa.egaa kyaa
Balmohan panday
Ghazal
jin nekiyo.n pe chal kar ajdaad kitne KHush the
ham ne unhii pe chal kar nuqsaan kar liyaa hai
Rajesh Reddy
Ghazal
dilo.n pe dard kaa imkaan bhii ziyaada nahii.n
vo sabr hai abhii nuqsaan bhii ziyaada nahii.n
Vipul Kumar
Ghazal
mai.n ne ulfat me.n munaafe' ko nahii.n sochaa hai
meraa nuqsaan ziyaada nahii.n hone vaalaa
Himanshi Babra
Ghazal
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
ziyaada kaamyaabii bhii bahut nuqsaan detii hai
phalo.n kaa bojh ba.Dhne se bhii paude TuuT jaate hai
Wasim Nadir
Ghazal
ham yuu.nhii kisii baat ko dil par nahii.n lete
nuqsaan ziyaada the so ghabraa.e hu.e the
Danish Naqwi
Ghazal
jin ke jazbaat huu.n nuqsaan naf.a kii zad me.n
un ke dil me.n ka.ii baazaar sajaa karte hai.n
Lata Haya
Ghazal
is qadar aish-e-mohabbat pe na ho KHush ki tujhe
duusre ishq me.n nuqsaan uThaanaa pa.D jaa.e
Jamal Ehsani
Ghazal
siikh is shahr me.n jiine kaa saliiqa 'amjad'
ko.ii martaa hai mare, aap kaa nuqsaan na ho