SEARCH RESULTS
Showing search results for "کمند"
Ghazal MATCHES FOR "کمند"
Ghazal
phir merii kamand us ne Daale hii tu.Daa.ii hai
vo aahu-e-ram-KHurda phir raam nahii.n hotaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
hamii.n ne rok liyaa panja-e-junuu.n varna
hame.n asiir ye kotah-kamand kyaa karte
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ye bhii qaidii ho gayaa aaKHir kamand-e-zulf kaa
le asiiro.n me.n tire 'aazaad' shaamil ho gayaa
Abul Kalam Azad
Ghazal
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Ghazal
ko.ii zanjiir nahii.n taar-e-nazar se mazbuut
ham ne is chaa.nd pe Daalii hai kamand aa.nkho.n se
Anwar Shuoor
Ghazal
aataa hai ek paara-e-dil har fuGaa.n ke saath
taar-e-nafas kamand-e-shikaar-e-asar hai aaj
Mirza Ghalib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
zindagii Daal rahii thii jo sitaaro.n pe kamand
ab tamaashaa-e-lab-e-baam hu.ii jaatii hai
Jameel Mazhari
Ghazal
bas ik tirii hii shikam-ser ruuh hai aazaad
ab ai asiir-e-kamand-e-havaa jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Ghazal
ga.ii dimaaG me.n jis ke kiyaa asiir use
ajab kamand hai buu-e-sharaab-KHaana-e-ishq
Jaleel Manikpuri
Ghazal
kamand zulf kii laTkaa ke dil ko le liije
ye jins yuu.n nahii.n aane kii haat koThe par
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
har ik kamand arsa-e-aafaaq hii pe thii
lekin buland jitnaa hu.aa utnaa past thaa
Ibrahim Ashk
Ghazal
pahu.nchaa hai shab kamand lagaa kar vahaa.n raqiib
sach hai haraam-zaade kii rassii daraaz hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
kamand zulf kii laTkaa ke us sanam ne 'naziir'
cha.Dhaa liyaa mujhe apne nidaan koThe par