SEARCH RESULTS
Showing search results for "کھیلنے"
Ghazal MATCHES FOR "کھیلنے"
Ghazal
khelne ke liye bachche nikal aa.e ho.nge
chaa.nd ab us kii galii me.n utar aayaa hogaa
Kaif Bhopali
Ghazal
dekho ab bhii jins-e-vafaa naayaab nahii.n
apnii jaan pe khelne vaale ab bhii hai.n
Zehra Nigaah
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
kab khelne paka.D ke havaa me.n se laa.e vo
jugnuu jo aah dil ke sharaare hu.e to kyaa
Ahmad Husain Mail
Ghazal
Charagh Sharma
Ghazal
shaayad ki fasl-e-sa.ng-zanii kuchh qariib hai
vo khelne ko barf ke gaale to de gayaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
tum aate to dilo.n se khelne kaa shauq thaa tum ko
to mere jism-o-jaa.n us khel kaa maidaan ho jaate
Farhat Ehsas
Ghazal
miyaa.n kyaa aa.ii.ne ko khelne kii chiiz samjhe the
ab apne-aap ko qisto.n me.n baTtaa dekhte rahiye
Iqbal Ashhar
Ghazal
'Gaalib' kaa rang 'miir' kaa lahja mujhe bhii de
lafzo.n se khelne kaa saliiqa mujhe bhii de
Naseem Nikhat
Ghazal
unhii.n me.n khelne aatii hai.n be-riyaa ruuhe.n
vo ghar jo laal harii daftiyo.n ke hote hai.n
Bashir Badr
Ghazal
bas ek baar unhe.n khelne kaa mauqaa do
KHud in kii chaal bataa degii saare maat ke ra.ng
Fatima Hasan
Ghazal
soch kar mujh ko ye ab nii.nd nahii.n aatii hai
khelne ke liye bachcha miraa gun chaahtaa hai
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
Ghazal
mai.n aisii 'umr se dukh jhelne lagaa 'javvaad'
jo 'aam taur pe hotii hai khelne vaalii
Jawad Sheikh
Ghazal
khelne ko jaan par kaafii hai jism-e-zaar bhii
tum mujhe kyaa dekhte ho merii himmat dekh kar
Natiq Gulavthi
Ghazal
'taahir' jazaa-e-himmat-e-aalii hai zulf-e-yaar
zulfo.n se khelne ke liye haat chaahiye
Jafar Tahir
Ghazal
shab-e-bahaar me.n taaro.n se khelne vaale
kisii kii aa.nkh bhii shab bhar sitaara-baar rahii
Akhtar Shirani
Ghazal
vo kaun hai jo unhe.n khelne nahii.n detaa
vo kam-sinii me.n jo rozii kamaane lagte hai.n