SEARCH RESULTS
Showing search results for "उजाला"
Ghazal MATCHES FOR "उजाला"
Ghazal
duur ke chaa.nd ko Dhuu.nDo na kisii aa.nchal me.n
ye ujaalaa nahii.n aa.ngan me.n samaane vaalaa
Nida Fazli
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
azmate.n apne charaaGo.n kii bachaane ke liye
ham kisii ghar me.n ujaalaa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Ghazal
itnii raushan hai tirii sub.h ki hotaa hai gumaa.n
ye ujaalaa to kisii diida-e-namnaak se hai
Parveen Shakir
Ghazal
suuraj hamaare ghar nahii.n aayaa to kyaa hu.aa
do-chaar aa.ngano.n me.n ujaalaa hu.aa to hai
Jameel Malik
Ghazal
ye zaraa duur pe manzil ye ujaalaa ye sukuu.n
KHvaab ko dekh abhii KHvaab kii taabiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
bhare hai.n raat ke reze kuchh aise aa.nkho.n me.n
ujaalaa ho to ham aa.nkhe.n jhapakte rahte hai.n
Gulzar
Ghazal
Aalok Shrivastav
Ghazal
parbato.n ke pe.Do.n par shaam kaa baseraa hai
surma.ii ujaalaa hai champa.ii a.ndheraa hai
Sahir Ludhianvi
Ghazal
tiirgii kii bhii ko.ii had hotii hai aaKHir miyaa.n
surKH parcham ko jalaa kar hii ujaalaa kar diyaa
Adil Mansuri
Ghazal
is a.ndhere me.n to Thokar hii ujaalaa degii
raat jangal me.n ko.ii sham.a jalaane se rahii
Nida Fazli
Ghazal
Hasrat Mohani
Ghazal
sub.h-dam surKH ujaalaa hai khule paanii me.n
chaa.nd kii laash kahii.n se bhii ubhar saktii hai
Azhar Faragh
Ghazal
Dar hai lapak na le mujhe merii udaasiyaa.n
tum muskuraa ke mujh me.n ujaalaa kiyaa karo
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
qismat ke khilaune hai.n ujaalaa ki a.ndheraa
dil sho.ala-talab thaa so bahar-haal jalii huu.n
Ada Jafarey
Ghazal
ko.ii aayaa hai zaruur aur yahaa.n Thahraa bhii hai
ghar kii dahliiz pe ai 'nuur' ujaalaa hai bahut