SEARCH RESULTS
Showing search results for "ऐबक"
Ghazal MATCHES FOR "ऐबक"
Ghazal
rahe na 'aibak' o 'Gaurii' ke maarke baaqii
hamesha taaza o shiirii.n hai naGma-e-'KHusrau'
Allama Iqbal
Ghazal
dukh hu.aa jab us dar par kal 'faraaz' ko dekhaa
laakh aib the us me.n KHuu na thii gadaa.ii kii
Ahmad Faraz
Ghazal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ye ab jo sar hai.n KHamiida kulaah kii KHaatir
ye aib bhii to ham ahl-e-hunar se niklaa thaa
Ahmad Faraz
Ghazal
jin ke aa.ngan me.n amiirii kaa shajar lagtaa hai
un kaa har aib zamaane ko hunar lagtaa hai
Anjum Rehbar
Ghazal
buraa na maaniye logo.n kii aib-juu.ii kaa
unhe.n to din kaa bhii saayaa dikhaa.ii detaa hai
Shakeb Jalali
Ghazal
saliiqa ye bhii to hai sar uThaa ke jiine kaa
jo ham me.n aib hai.n in ko hunar banaayaa jaa.e
Jahangeer nayab
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
baat kuchh KHaak nahii.n thii jo u.Daa.ii tuu ne
tiir kuchh aib nahii.n thaa jo lagaa baiThaa hai
Muztar Khairabadi
Ghazal
maa.il-ba-Gair honaa tujh abruu kaa aib hai
thii zor ye kamaa.n vale KHam-cham bahut hai yaa.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
vo shaKHs kaam kaa hai do aib bhii hai.n us me.n
ik sar uThaanaa duujaa mu.nh me.n zabaan rakhnaa
Kumar Vishwas
Ghazal
pahle KHud apne saamne tum aa.ina karo
aibo.n pe duusro.n ke agar tabsira karo
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
ho sake to aap rakhiye apne aibo.n par nazar
duusro.n kii KHaamiyo.n par tabsira achchhaa nahii.n
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
sab kii tarah tuu ne bhii mire aib nikaale
tuu ne bhii KHudaayaa mirii niyyat nahii.n dekhii
Shahzad Ahmad
Ghazal
ham ko aapas me.n mohabbat nahii.n karne dete
ik yahii aib hai is shahr ke daanaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Ghazal
ab ye nekii bhii hame.n jurm nazar aatii hai
sab ke aibo.n ko chhupaayaa hai bahut din ham ne