SEARCH RESULTS
Showing search results for "किनारे"
Ghazal MATCHES FOR "किनारे"
Ghazal
ek hii naddii ke hai.n ye do kinaare dosto
dostaana zindagii se maut se yaarii rakho
Rahat Indori
Ghazal
pahu.nch gayaa tirii aa.nkho.n ke us kinaare tak
jahaa.n se mujh ko samundar dikhaa.ii dene lagaa
Shaheen Abbas
Ghazal
biThaa diyaa mujhe dariyaa ke us kinaare par
jidhar hubaab tahii-jaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
kaun ye paataal se ubhraa kinaare par 'saliim'
sar-phirii mauje.n abhii tak daa.ero.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
dariyaa ke is kinaare sitaare bhii phuul bhii
dariyaa cha.Dhaa hu.aa ho to us paar dekhnaa
Nida Fazli
Ghazal
havaa.e.n tez thii.n ye to faqat bahaane the
safiine yuu.n bhii kinaare pe kab lagaane the
Aashufta Changezi
Ghazal
tiraa cha.Dhaa hu.aa dariyaa samajh me.n aataa hai
tire KHamosh kinaare nahii.n samajhtaa huu.n
Zafar Iqbal
Ghazal
thaa magar sab kuchh na thaa dariyaa ke paar
is kinaare bhii kinaaraa thaa kabhii
Shariq Kaifi
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
ye samundar hai kinaare hii kinaare jaa.o
ishq har shaKHs ke bas kaa nahii.n pyaare jaa.o
Kaleem Aajiz
Ghazal
mai.n Duub jaa.uu.n samundar kii tez lahro.n me.n
kinaare rakkhii hu.ii kaa.enaat rah jaa.e
Shakeel Azmi
Ghazal
Ahmad Mushtaq
Ghazal
savaal ye hai ki aapas me.n ham mile.n kaise
hamesha saath to chalte hai.n do kinaare bhii
Amjad Islam Amjad
Ghazal
vo kuchh gahrii soch me.n aise Duub gayaa hai
baiThe baiThe nadii kinaare Duub gayaa hai
Aanis Moin
Ghazal
ajab nazaaraa thaa bastii kaa us kinaare par
sabhii bichha.D ga.e dariyaa se paar utarte hu.e