SEARCH RESULTS
Showing search results for "ख़ुश-फ़हम"
Ghazal MATCHES FOR "ख़ुश-फ़हम"
Ghazal
dil-e-KHush-fahm ko naakaam nahii.n hone diyaa
us ko bhii shahr me.n badnaam nahii.n hone diyaa
Rasheed Sandeelvi
Ghazal
ai dil-e-KHush-fahm is aazaar se baahar nikal
Dhal ga.ii shab ab KHayaal-e-yaar se baahar nikal
Altamash Abbas
Ghazal
saare KHush-fahm pa-e-vasl ji.e jaate hai.n
aur mayassar hai hame.n vo to mare jaate hai.n
Nomaan Shauque
Ghazal
ham ki the KHush-fahm din kii be-panaahii dekh kar
haath malte rah ga.e shab kii siyaahii dekh kar
Khumar Mirzada
Ghazal
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hai.n umiide.n
ye aaKHirii sham'e.n bhii bujhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
ai rah-rav-e-KHush-fahm bahar-gaam ye sajde
kyaa teraa muqaddar hai.n ye naqsh-e-kaf-e-paa hii
Afzal Kiratpuri
Ghazal
ai mire naaseh-e-KHush-fahm zaraa Gaur se sun
dost naadaan hu.aa karte hai.n naa-daano.n ke
Shakeel Badayuni
Ghazal
raas aataa hii nahii.n ko.ii ta'alluq 'naahiid'
dil-e-KHush-fahm magar maan me.n rakkhaa hu.aa hai
Naheed Virk
Ghazal
apnii auqaat me.n rahnaa dil-e-KHush-fahm zaraa
vo guzaarish pe tirii sar na khujaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Ghazal
us kam-aamez ke va.ado.n pe bharosa kar ke
Dar hai phir se dil-e-KHush-fahm na maaraa jaa.e
Iman Qaisrani
Ghazal
dil-e-KHush-fahm ye kahtaa thaa bulaa legaa ko.ii
jab mai.n uTThaa thaa tirii bazm se ho kar maGmuum
Saleem Ahmed
Ghazal
dil-e-KHush-fahm ko sub.h safar kii raushnii me.n
shab-e-Gam ke liye tayyaar karnaa chaahiye thaa
Yasmeen Hameed
Ghazal
dil-e-KHush-fahm ko de phir ko.ii KHush-rang fareb
phir kisii rasm se tajdiid-e-shanaasaa.ii kar
Peer Akram
Ghazal
dil-e-KHush-fahm se is baat par ab kaun uljhe
jo kahtaa hai ki terii ham-nashiinii hai mohabbat
Yawar Azeem
Ghazal
ik shaKHs jo uljhaa hai na.ii fikr-o-nazar me.n
vo saahib-e-KHush-fahm hai aur tez bahut hai
Afroz Alam
Ghazal
dil-e-KHush-fahm ne ik KHvaab-e-shajar dekhaa hai
shomii-e-baKHt ki be-barg-o-samar dekhaa hai