SEARCH RESULTS
Showing search results for "दिल-ए-मदहोश"
Ghazal MATCHES FOR "दिल-ए-मदहोश"
Ghazal
ye raah-giiro.n ke chehre aziiz lagte hai.n
'mad.hosh' ab hame.n yaaro.n me.n jii nahii.n lagtaa
Madhosh Bilgrami
Ghazal
saaz bhii ruuTh ga.e taar bhii sab TuuT ga.e
bahr-e-KHaamosh me.n 'mad.hosh' taraane gum hai.n
Madhosh Bilgrami
Ghazal
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye 'ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Ghazal
detaa hai ab yahii dil-e-shoriida mashvara
jiine se ta.ng ho to miyaa.n mar ke dekh lo
Dil Ayubi
Ghazal
hamdam ha.nsii u.Daa na dil-e-daaG-daaG kii
tohfe diye hu.e ye kisii mehrbaa.n ke hai.n
Dil Ayubi
Ghazal
ai 'dil' ye haal ishq me.n hogaa KHabar na thii
pachhtaa.e ham to rog lagaa kar fuzuul ke
Dil Ayubi
Ghazal
zaamin nashv-o-numaa-e-gul-e-tar hai ai 'dil'
dard-mandii kii KHalish sii jo dil-e-KHaar me.n hai
Dil Ayubi
Ghazal
KHushaa-nasiib ki diivaane hai.n to ham ai 'dil'
kamaal-e-nisbat-e-diivaana-gar bhii rakhte hai.n
Dil Ayubi
Ghazal
tiraa KHayaal miraa soz-e-aarzuu-e-sahar
ko.ii to thaa shab-e-furqat jo dil ke kaam aayaa
Dil Ayubi
Ghazal
ban ga.ii husn-e-talab bhii to mu.amma ai 'dil'
dard maa.ngaa thaa vo samjhe ki davaa maa.ngii thii
Dil Ayubi
Ghazal
hairat-e-aa.ina tanhaa na yahaa.n raqs me.n hai
jaane kyaa dekh liyaa dil ne ki jaa.n raqs me.n hai
Dil Ayubi
Ghazal
terii aa.nkho.n kaa liyaa kartaa huu.n bosa har din
mujh ko mad.hosh ko.ii jaam nahii.n kar saktaa
Dil Sikandarpuri
Ghazal
na Gam-e-dil ke hii bas ke na Gam-e-dauraa.n ke
itne aazaad hu.e tere giraftaar ki bas
Dil Ayubi
Ghazal
rah gayaa KHvaab-e-dil-aaraam adhuuraa kis kaa
Dhal ga.ii shab to khulaa hai ye dariicha kis kaa
Dil Ayubi
Ghazal
ai 'dil' us kii yaad hai goyaa usii kaa aa.ina
muzda-e-jaa.n-baKHsh bhii chaltii hu.ii shamshiir bhii
Dil Ayubi
Ghazal
ai 'dil' ajab vo shahr-e-sitam thaa ki aaj tak
hai ko.ii adh-khulaa saa dariicha KHayaal me.n
Dil Ayubi
Ghazal
ghabraa ke kis ko raah me.n ai 'dil' pukaarte
apne sivaa qariib-e-rag-e-jaa.n ko.ii na thaa
Dil Ayubi
Ghazal
mere siina me.n ye dil hai ki ko.ii saudaagar
mere ehsaas kaa dhan tol rahaa hai mujh me.n