SEARCH RESULTS
Showing search results for "बे-तकल्लुफ़ी"
Ghazal MATCHES FOR "बे-तकल्लुफ़ी"
Ghazal
dilo.n kaa rabt nahii.n be-takallufii hai ye
kabhii kabhii kii mulaaqaat dostaana hai
Syed Amin Ashraf
Ghazal
suu-e-adab kahuu.n ki ise be-takallufii
'raaGib' bajaa.e aap muKHaatib vo tuu se thaa
Raghib Muradabadi
Ghazal
qaasid ne us kii baat banaa.ii na ho kahii.n
kis be-takallufii se javaabaat kah gayaa
Muzaffar Hanfi
Ghazal
mai.n be-takallufii kaa bhii qaa.il to huu.n magar
diivaar-e-ehtiraam giraataa nahii.n huu.n mai.n
Mohammad Ali Ayaz
Ghazal
ye kyaa ki but bane hu.e baiThe ho bazm me.n
kuchh be-takallufii bhii to KHalvat me.n chaahiye
Dagh Dehlvi
Ghazal
vo jo Gair hai.n so un se tumhe.n be-takallufii hai
hame.n dekh kar ke ab tum karo ho hijaab ulTaa
Fakhruddin Khan Mahir
Ghazal
ham mai-kasho.n kii bazm me.n hai be-takallufii
kuchh daanaa-haa-e-sub.ha-sifat pesh-o-pas nahii.n
Imdad Ali Bahr
Ghazal
be-takalluf miraa haijaan banaataa hai mujhe
saamne tere kahaa.n bolnaa aataa hai mujhe
Shariq Kaifi
Ghazal
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariiq-e-aashnaa.ii na rusuum-e-jaam-o-baadaa
Mohammad Deen Taseer
Ghazal
dha.Dkane.n band-e-takalluf se zaraa aazaad kar
barmalaa mumkin nahii.n dil me.n kisii ko yaad kar
Sharif kunjahi
Ghazal
be-takalluf bosa-e-zulf-e-chaliipaa liijiye
naqd-e-dil maujuud hai phir kyuu.n na saudaa liijiye
Akbar Allahabadi
Ghazal
rakhii be-takalluf mulaaqaat chande
ba-mannat mujhe paas pahro.n biThaayaa