SEARCH RESULTS
Showing search results for "बोस-ओ-कनार"
Ghazal MATCHES FOR "बोस-ओ-कनार"
Ghazal
raqiib ko bhii hai baar un kii bazm me.n 'aaGaa'
shariik-e-sohbat-e-bos-o-kanaar ham bhii hai.n
Aagha Akbarabadi
Ghazal
bos-o-kanaar-o-vasl-e-hasiinaa.n hai KHuub shaGl
kamtar buzurg ho.nge KHilaaf is KHayaal ke
Akbar Allahabadi
Ghazal
kiyaa mai.n ne jab azm-e-bos-o-kanaar
to uTh baiThe aur mu.nh chi.Dhaane lage
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Ghazal
us pe martaa huu.n vaqt-e-bos-o-kanaar
teraa kahnaa na jii ajab shai hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Ghazal
kahuu.ngaa yaar se ik roz haath phailaa ke
mujhe bhii hasrat-e-bos-o-kanaar baaqii hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Ghazal
chehre pe vo sajaa.e hai ma.asuumiyat kaa nuur
ab kaun us ko zahmat-e-bos-o-kanaar de
Aleem Usmani
Ghazal
saafii dil-Gazand kii kyaa thii dam-e-bos-o-kanaar
bose ko mushkil Thaharnaa siine se taa naaf thaa
Mamnoon Nizamuddin
Ghazal
muddat se ishtiyaaq hai bos-o-kanaar kaa
gar hukm ho shuruu.a kare apnaa kaam hirs
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
ham sirf dekhne ko hai.n mahruum aur hai
Gairo.n ko dastaras tire bos-o-kanaar tak
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Ghazal
ham to nit duur se KHamyaaza-kash-e-hasrat hai.n
lazzat-e-bos-o-kanaar us kii hayaa hii jaane
Baqaullah 'Baqa'
Ghazal
uThtii hai mauj har yak aaGosh hii kii suurat
dariyaa ko hai ye kis kaa bos o kanaar KHvaahish
Meer Taqi Meer
Ghazal
kab tak rahuu.n hijaab me.n mahruum vasl se
jii me.n hai kiije pyaar se bos-o-kanaar KHuub
Mah Laqa Chanda
Ghazal
ye hai.n jo baaG me.n bos-o-kanaar ke manzar
ga.e dino.n me.n yahii mashGala hamaaraa bhii thaa
Farhat Ehsas
Ghazal
duur rahtaa hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanaar
Duubtaa rahtaa hai dariyaa me.n kinaaraa kyaa kyaa
Abul Hasanat Haqqi
Ghazal
Qadr Aurangabadi
Ghazal
had bos-o-kanaar aur jo thaa us ke sivaa aah
gar vo bhii mayassar hu.aa haihaat to phir kyaa