SEARCH RESULTS
Showing search results for "मौहूम"
Ghazal MATCHES FOR "मौहूम"
Ghazal
intizaar-e-manzil-e-mauhuum kaa haasil ye hai
ek din ham par inaayat kii nazar ho jaa.egii
Meeraji
Ghazal
kis hasti-e-mauhuum pe naazaa.n hai tuu ai yaar
kuchh apne shab-o-roz kii hai tuj ko KHabar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
ik vahm nahii.n besh mirii hasti-e-mauhuum
us par bhii tirii KHaatir-e-naazuk pe garaa.n huu.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
ho gayaa mehmaa.n-saraa-e-kasrat-e-mauhuum aah
vo dil-e-KHaalii ki teraa KHaas KHalvat-KHaana thaa
Khwaja Meer Dard
Ghazal
taa-ba-kai vaada-e-mauhuum kii tafsiil 'firaaq'
shab-e-furqat kahii.n kaTtii hai in afsaano.n me.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is hasti-e-mauhuum se mai.n ta.ng huu.n 'inshaa'
vallaah ki is se ba-maraatib adam achchhaa
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
lii thii mauhuum tahaffuz ke gharau.nde me.n panaah
ret jab bikhrii to haalaat samajh me.n aa.e
Ibrat Machlishahri
Ghazal
vo na maanegaa pa har shab ko.ii mauhuum sii aas
ik diyaa ban ke dar-e-dil pe jalaa kartii hai
Mohammad Aazam
Ghazal
gum hu.aa KHud me.n to ik nuqta-e-mauhuum hu.aa
munkashif hote hii atraaf pe chhaayaa huu.n mai.n
Tariq Qamar
Ghazal
be-sadaa lamho.n me.n mauhuum KHayaalo.n se pare
dil kii aavaaz ko mai.n ain yaqii.n jaantaa huu.n
Aziz Nabeel
Ghazal
jis ko mauhuum lakiiro.n kaa muraqqa.a kahiye
lauh-e-dil par thaa yahii naqsh-e-vafaa kyaa karte
Tanveer Ahmad Alvi
Ghazal
Yagana Changezi
Ghazal
kaun suntaa hai yahaa.n dil kii kahaanii 'tanviir'
vo bhii KHushbuu.o.n ke mauhuum ishaaraat ke saath
Tanveer Ahmad Alvi
Ghazal
diivaar bhii diivaar se aazaad nahii.n hai
mauhuum KHalaa.o.n me.n bhii zindaan-e-havaa hai
Shamim Hanafi
Ghazal
naqsh-e-mauhuum-e-hayaat afsaana-dar-afsaana thaa
jab ye naqsh ubhraa to ik harf-e-tamannaa ban gayaa