SEARCH RESULTS
Showing search results for "हुकूमत"
Ghazal MATCHES FOR "हुकूमत"
Ghazal
aaGaaz-e-mohabbat hai aanaa hai na jaanaa hai
ashko.n kii hukuumat hai aaho.n kaa zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
sar me.n vo intizaar kaa saudaa nahii.n rahaa
dil par vo dha.Dkano.n kii hukuumat nahii.n rahii
Khumar Barabankavi
Ghazal
ek aa.nsuu bhii hukuumat ke liye KHatra hai
tum ne dekhaa nahii.n aa.nkho.n kaa samundar honaa
Munawwar Rana
Ghazal
kis qaum ke dil me.n nahii.n jazbaat-e-baraahiim
kis mulk pe namruud hukuumat nahii.n kartaa
Qateel Shifai
Ghazal
jinhe.n KHayaal ho aa.nkho.n kaa lauT jaa.e.n vo
ab is ke baa'd hukuumat safar me.n dhuul kii hai
Shakeel Azmi
Ghazal
mai.n ne bhejaa tujhe aivaan-e-hukuumat me.n magar
ab to barso.n tiraa diidaar nahii.n ho saktaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
mirii Gazal kii tarah us kii bhii hukuumat hai
tamaam mulk me.n vo sab se KHuub-suurat hai
Bashir Badr
Ghazal
aaj ik daana-e-gandum ke bhii haqdaar nahii.n
ham ne sadiyo.n inhii.n kheto.n pe hukuumat kii hai
Rahat Indori
Ghazal
sar kii baazaar-e-siyaasat me.n nahii.n hai qiimat
sar pe jab taaj nahii.n hai to hukuumat mat kar
Abbas Dana
Ghazal
tumhaare ahd-e-hukuumat kaa saaneha ye hai
ki ab to log gharo.n se bhii kam nikalte hai.n
Munawwar Rana
Ghazal
ishq ne jab bhii kisii dil pe hukuumat kii hai
to use dard kii me.araaj inaayat kii hai
Jawad Sheikh
Ghazal
hu.ii na aam jahaa.n me.n kabhii hukuumat-e-ishq
sabab ye hai ki mohabbat zamaana-saaz nahii.n
Allama Iqbal
Ghazal
ik umr se qaa.em hai ye raato.n kii hukuumat
ik umr se mai.n KHvaab-e-sahar dekh rahaa huu.n
Balmohan panday
Ghazal
yaar ik baar parindo.n ko hukuumat de do
ye kisii shahr ko maqtal nahii.n hone de.nge
Abbas Tabish
Ghazal
ye dabdaba ye hukuumat ye nashsha-e-daulat
kiraaya-daar hai.n sab ghar badalte rahte hai.n