SEARCH RESULTS
Showing search results for "हौसला"
Ghazal MATCHES FOR "हौसला"
Ghazal
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
Parveen Shakir
Ghazal
agar vafaa pe bharosa rahe na duniyaa ko
to ko.ii shaKHs mohabbat kaa hausla na kare
Qateel Shifai
Ghazal
manzile.n laakh kaThin aa.e.n guzar jaa.uu.ngaa
hausla haar ke baiThuu.ngaa to mar jaa.uu.ngaa
Saqi Amrohvi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
jaa.n-daad-gaa.n kaa hausla fursat-gudaaz hai
yaa.n arsa-e-tapiidan-e-bismil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Ghazal
jii me.n aataa hai ulaT de.n un ke chehre se naqaab
hausla karte hai.n lekin hausla hotaa nahii.n
Saghar Siddiqui
Ghazal
Anwar Shuoor
Ghazal
agarche mai.n ik chaTaan saa aadmii rahaa huu.n
magar tire baa'd hausla hai ki jii rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
har ek baat ko chup-chaap kyuu.n sunaa jaa.e
kabhii to hausla kar ke nahii.n kahaa jaa.e
Nida Fazli
Ghazal
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke